Archive for July, 2009

Kya Faaida……………


Bhoolne waale se koyi keh de zara,
Is tarah yaad aane se KYA FAAIDA.
Jab mere dil ki duniya basaati nahin,
Phir khayaalon mein aane se KYA FAAIDA.
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi,
Aap kya badle, duniya badal si gayi.
Aasra de ke dil tod te hain mera,
Is tarah sataane se KYA FAAIDA.
Chaar tinke jala ke kya mil gaya,
Mit sakana zamane se mera nishaan.
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi,
Aashiyane Pe girane se KYA FAAIDA……!!
………………………Raaj…………………………….


 

Masoom hai Mohabbat


Masoom is mohabbat ka bus itna as fasana hai,

Kagaj ki haveli hai, baarish ka zamaana hai,

Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai,

Awaz bhi jakhmi hai aur wo geet bhi gana hai,

Uss per utrne ki umeed bahut kam hai,

Kashti bhi puraani hai, tufaan bhi aana hai,

Samajhe ya na samjhe wo andaaz-e-mohabbat ka,

Bheegi hui ankho se ek sher sunaana hai,

Bholi is Ada, koi fir ishq ki jid par hai,

Fir aag ka dariya hai.. Aur doob hi jana hai !!

……………………..Raaj……………………………..