Skip to content


YEH MERA DEEWAANA PAN HAI…..

Saalon ki juudayi main sisakati hai diwaarey

Kisi ke gamgin palon main sisakati hai kuuchch yaadey

Bandh darawajey par dastak deti roz parchchaayi

Uudaas dehlij bhi dhuundati hai paadd-chaap kisiki

Hawaa ke zonkon ke saath zuulati khidakiya

Aur khaali kuursiyaa bhi dhuundati hai baithak kisiki

Suum-saan ghar main abol vedana, asfuut shabd

Aawaaj bhi dhuundata hai pratidhwani kisiki

Baraso pahaley ke sparsh ke kuuchch ghaav

Aaj bhi sisakatey hai naasuur bannkar

Voh sparsh bhi aaj dhuundata hai

Naazuk si Uungaliya kisiki

Aaj bhi voh nazaarey, voh chaand voh sitarey

Jo gaye the chchod tuum, kar rahey ishaarey

Ki le aao unhey nazdik hamaarey

Ki ji uutheyngey pheersey ek baar

Ek naazuuk sey sparsh sey tuumharey

MAGAR ..

Suuhaani raat dhal chuuki; naa jaaney tuum kab aavogi

……………………..

………………….aameen

Posted in YAADEY.

29 comments



SHARSH KI BHAASHA

Baraso puurani hai yeh baat

Amra-vriksh ke nichey

Baithey ghadi bhar ham-tuum ek saath

Ek duujey ki arthheen baaton main

Khoye the hamm aur tuum

Been arth kee uun baaton main

Achaanak aur anjaaney main

Hua tha sparsh, tuumharey

Komal haath ka.

Voh sparsh

Aur uss sparsh ki anjaan bhaasha

Yaad hai aaj taq hamey ..

AUR

Tuumharey uss maun main

Baahar na aaye hue voh shabd

Aaj bhi main suunaney ko

Tadapata huun

Kya kabhi nikal aayengey baahar

Voh shabd ..

Voh sparsh ki bhaasha .

……………………………….aameen

Posted in YAADEY.

28 comments



RUUP TERA AISA…….!!!!!!

Tuumharey paajeb (paayal) ki zankaar ke aagey

Besuurey hai sangeet ke suur

Dil main rahakar bhi tuum

Lagata hai ho muzsey bahut duur

Tuumharey raqteem gaalon ke aagey

Fikki hai aakaash ki laalima

Lambey kaaley ghaney baalon ke aagey

Sharmaayi hai, raat ki kaalima

Mruuganayani aankhon main samaaye

Suunder bhavishya ke sapaney

Guulaabi adharon par khiley hai

Phool mann-uupavan ke.

Tuumhaari chaal main hai

Tuufaani hawakey zonko ki ravaani

Swar main hai tuumharey

Koyal ke madhuur swar ki ruumaani

Khuuda ke khudaayi ne di hai tumhey

Aparatim suundarata

Natt-mastak ho jaataa huun

Dekhkar kuudarat ki yeh uudaarata

Saundarya ke iss samanvay ko

Apani lajja sey sajaana

Khuudaney diya hua yeh tohfaa

Apaney prem sey sajaana………..

………………………………..aameen

Posted in YAADEY.

29 comments



AAJ KI RAAT

Jis raat ke khwaab sochey

Vohi raat aaj aayi hai

Dekh hamey zuuki nazarey unki

Otho par vahi baat aayi hai

Bahaaroney bheja paigam mere naam

Taaroney bheja hai salaam;

Di duuaye phoolon ney

Aaye jab voh karib hamaarey

Jaisey nagamon ki baaraat aayi hai

Yeh mahaki hui julphey tumhari

Yeh Bahaki hui saansey

Neendon ko chuurane waali

Yeh neend bhari tuumhari aankhe

Taqdeer hai meri jagi

Jaisey jannat mere haath aayi

Ek nuur sa chahera bikharata roshani

Lagata ho jaisey chaand nikal aaya

Kya kaam ab charagon ka

Jab mera chaand hi mere paas aaya…….

……………………………………………………. aameen

Posted in YAADEY.

36 comments



MAUN KI BHAASHA !!!

Chaahey chillavu ya dhol peetu

Tuumharey hriday ke dwaar

Na haley; na khuuley

Drishti heen karn heen

Sheelp ke sthambh ki tarah maun

Iss Satya-asatya ke jivan sangram main

Mainey khoya vishvaas ..merey astitva ki muudy

Par pheer bhi tuum rahey .maun

Duubati naiya se bhaagatey mruushako (chuuho) ki tarah

Haard (dil) sey shabd hi merey bhaag gaye aur

Main rah gaya shabdheen, arthheen

Aur tuum rahey .maun

Hey priyey ..!!!!!!!!

Shabdheen mera yeh prem-patra

Kora hi rah gaya bilkuul kora

Jab yeh kora kaagaz milega tuumhey tab

Anubhuuti kar lena merey samvedan-sheel prem ki

Manogat maun ki bhaasha sey ..

Padhlena ek-ek shabd premsabhar

Prem ke uunmaad main

Aur

Pheer na rahana maun………………

……………………………………aameen

Posted in YAADEY.

40 comments



DIL KE ARMAAN

Khili-khili si hai aaj puunam ki raat

Jii luun raat ka har pal tuumharey saath

Na jaaney kal pheer yeh chaand dikhey na dikhey

Aur na ho tuum merey saath

Pee leney dey uunn aankhon ka nuur

Chcha jaaney do dil main pyar ka suuruur

Na jaaney kal pheer yeh mithi nazar miley na miley

Aur hamm ho jaaye nashey main chuur

Chuum loon aaj adhar voh rassbharey

Kar loon aaj rasmo-riwaaj muhabbat ke puurey

Hai muuhabbat to karley armaan ek duje ke puurey

Na jaaney kal yeh zindagee nasib ho na ho…………

…………………………………………………..aameen

Posted in YAADEY.

35 comments



DIL KE TAAR CHCHEDKAR……..

Aisey hi aankhon main sapaney saja baithey

Aur anjaaney main tuumsey pyaar kar baithey

Jab shabdon ke daayarey kamm lagey

To aankhon sey maun ekaraar kar baithey

Sapnoke pankh lagaakar aasmaan main udatey rahey

Aur dil main pyaar ka khuumaar bhar baithey

Halkey sey mor-piichch laharakey hawaa main

Mann-pasand geeton ki tarz banna baithey

Chandani raat main bandd aankhey kiye

Dil ka taar chched geet Milan ke gaate rahey

Aur ek allad nav-yavvana ko raaj karaney

Apana pyaar bhara dil dey baithey.

Aur

Tuum to dil ke taaar chchedkar

Ho gaye bekhabar………

……………………………………….aameen

Posted in YAADEY.

31 comments



MERI YAADON MAIN TUUM !!!!

Bhavre ki nigaahon sey dekha tuumhey

To Guulab jaisee lagee hamey

Registaan main paani ki taraha dhuunda tumhey

To Antaratma main baadal bannkar barsey tuum

Aur prem ki pratham bearish maankar apnaya tuumhey

Merey antarmann kay aaradhya tuum

Meera bannkar Krishna ki taraha puuja tumhey

Khuun bann gaya syaahi aur dil kalam

Yaadon ko gazal banaakar likha tuumhey

Dil to dey chuukey hai;

jaan bhi dey dengey

Agar dil sey ek baar tuum kahdo

"Tuum dilbar lagey hamey".

……………………………………..aameen

Posted in YAADEY.

29 comments



HAI VOH KOYI JO…………….

Gasht laga raha hai koyi merey;

Mann key iss viishaal aangan main

Chched gaya hai koyi merey;

Hriday key nirav taar ko

Loot gaya hai koyi merey

Raaton ki miithi neend ko

Foonk gaya hai koyi merey

Kaanon main prem kay mantra ko

Jaga gaya hai koyi merey

Nayano main anmol swapn ko

Baandh gaya hai koyi merey

Antarman main aasha kay kirano ko

Jaga gaya hai koyi merey

Tann mann main anere spandano ko

Pa gaya hai koyi merey

Jivan ke antarang ke ehsaas ko ..

………………………………………… aameen

Posted in Fantasy.

29 comments



GUUNJAAYISH !!

Guunjaaish karta hai mera mann

Kisi khoobsurat pal mein kho jaaoon main
Jahaan tuum ho
Main hoon
Aur aazaad hawaaein .


Jahaan mehak ho
Baadaloan ki chchaaya ho
Aur hammari pagal ashiqi…


Jahaan nasha ho
Tumhaari nazaroan mein doob jaaney ka
Tumhaari muskuraaht ko chumney ka
Uun nazdeekiyaon mein pighal jaaney ka..

Yeh .. pal har pal
Merey aaj, aur merey kal ho .

Bass yahi guunjaaish karta hai mann

………………………………….aameen

Posted in Fantasy.

27 comments