Skip to content

Categories:

Untitled

TAMANNA

Tamanna hai Phoolonsa mehekneki,

Khushabu ban behekneki!

Tmanna hai Kshitij ko chhuneki,

Unche aasmaan mein udaneki!

Tamanna hai Barishme bhiganeki,

Baraste boondonko chumneki!

Tamanna hai Waadiyonme ghumneki,

Behete havawonsang jhumneki!

Tamanna hai Khabonme kisike doobneki,

Prem ke rang mein rang janeki!

Arati Krishnamurthy.

Posted in Poetry.

2 comments


Saawan…

Yeh rimjhim barasta saawan

Kuch yaad dilata hai!

Kabhi hotonpe Muskaan

Kabhi ankhe nam kar jata hai,

Kabhi Dil ki dhadakan tej

To kabhi stabd kar jata hai,

Kabhi khushi ka yehesaas

To kabhi gum ki leher lata hai,

Par yeh jeeneki tamanna

Har baar jagata hai,

Yeh rimjhim barasta saawan

Kuch yaad dilata hai!

Arati Krishnamurthy

Posted in Poetry.

5 comments


Untitled

Jindagi ..

 

Yeh Jindagi kya hai,

Khubasurat Saheli hai;

Samjho to sahi hai,

Nahi to ek Paheli hai;

 

Dekho to rangonse bhari hai,

Nahi to berang andheri hai;

Jano to khushbu se meheki hai,

Mano to beheki beheki hai;

 

Kabhi yeh maza hai,

Nahi to lambi saza hai;

Aur kabhi sirf apani hi nahi,

Kisi aur ke bhi jineki wazah hai

                       

                                       Arati Krishnamurthy.

Posted in Poetry.

2 comments


Abhi Baaqi Hai

Abhi to rakha hai kadam naye dhara par,


Door talak jana abhi baaqi hai;


Abhi to hui hai safar ki shuruwaat,


Manjil par pahunchna abhi baaqi hai;


Abhi to mile hai hum aapse,


Bahot kuch samajhna abhi baaqui hai;


Yeh to hai shuruwat naye jindagiki,


Jibharke jina abhi baaqui hai;


Abhi to huwa hai didaare chaand,


Chandani mein doob jana abhi baaqui hai;


Abhi to lagayee hai doobaki prem sagar mein,


Tairke uspaar jana abhi baaqui hai;


Kalam ko diya hai kaam abhi abhi,


Bahot kuch sunana abhi baaqui hai!


                                      Aarti Krishnamurthy


 


 

Posted in Poetry.

4 comments