Abhi to rakha hai kadam naye dhara par,
Door talak jana abhi baaqi hai;
Abhi to hui hai safar ki shuruwaat,
Manjil par pahunchna abhi baaqi hai;
Abhi to mile hai hum aapse,
Bahot kuch samajhna abhi baaqui hai;
Yeh to hai shuruwat naye jindagiki,
Jibharke jina abhi baaqui hai;
Abhi to huwa hai didaare chaand,
Chandani mein doob jana abhi baaqui hai;
Abhi to lagayee hai doobaki prem sagar mein,
Tairke uspaar jana abhi baaqui hai;
Kalam ko diya hai kaam abhi abhi,
Bahot kuch sunana abhi baaqui hai!
Aarti Krishnamurthy
Visit my new blog spot at http://krishnarati.wordpress.com
And do comment on my poems.
see my new blog at http://krishnarati.wordpress.com
its beautiful…………superb………..
hey ……..its too good…….abhi to hui hai shuruat, manzil taq pahuchana baaqi hai…….. bahuut achchi kavita likhi hai…….This is like……”badey aramaan sey rakhaa hai sanam teri kasam; pyaar ki duniya main yeh pahala kadam”….. you write so well……keep it up.