Skip to content


utter bhartiya

                             ” utter Bhartiya”

 aaj kal hamare desh ki comercial capital mumbai me utter bhartiyon ke prati kuch  political partiyan

ek muhim chala rahin hain ki utter bhartiyon tum log apne rajyon me jao kyoki yah mumbai hum logon ka hai. isame mns jiska pratinidhitv “rajthakre” karate hain joki ek bahut hi chhote ster ke neta hain kaate  hain ki mumbai mera hai.aisa lagata hai jaise unki ma ne paida kiya hai o mumbai unka

chhota bhai ahin ish tarah ke baten karte hain. ek taraf hum sabhi log yah dawa karate hai ki hum sab bhartiya ek hain. kashmir se kanyakumari tak hamara bharaat ek hai. phir aisa kyon kaha jata hai, yah kyon nahin kaha jata ki hamara desh ek nahin balki 32 chhote -2 tukadon me bata gaya hai. or yahi sahi bhi lagta hai. isame sabase badi galti hamare rajnetaon ki hai joki rajniti ke naam par deshko barbad karne par lage hai. or is tarah se sachmuch hamara desh tukadon me bat jayega or barbad bhi ho jayega or hum sabhi mukdrshak ban rahenge. yah dharm or kshetrawad ke naam par rajniti jo log karte hain un logo ko ya to shut kar dena chahiye ya to jail ke ander dal dena chahiye taki ve log  ish tarah  desh ko barbad na karen.

Posted in Politics.


0 Responses

Stay in touch with the conversation, subscribe to the RSS feed for comments on this post.