Skip to content


Untitled

Kyu Wafao ka mai Sila maangu.
Jo hai Apna usse kya Maangu.

Mai bhi pehchanta nahi khud ko,
Kisse Apna ataa-pataa Maangu.

Who agar hai to dhundhna kaisa,
Aasmaa se kyu Khuda maangu.

Ye Dilata hai Teri Yaad mujhe,
Kyu mai is dard ki Dawa Maangu.

Chah koi nahi rahi Makhmun,
Kuch na Maangu ,bas aur kya Maangu.- Unknown

Posted in Uncategorized.



0 Responses

Stay in touch with the conversation, subscribe to the RSS feed for comments on this post.


« TANHA