anonymouspoet’s blog

Broadcasting my thoughts
Subscribe

Archive for August, 2009

Kismat

August 23, 2009 By: Anonymous Poet Category: Poetry


pic: Matheran Trip


This poem is just a figment of imagination, and has no relevance to any person living or dead! 


aankho par paaniyon ka karz hai zara,
fikra wajah ki nahin, bewajah hai kuch zindagi me
utarega ye karz dheema dheema,
kadva dhuyan jo aankho me hai bhara


saans me atkaa hai jo dhuyaan bada nukeela hai
humne maanga nahin zindagi se kuch jo mila
kabhi kabhi kismato ko apne haatho me cheela hai


baisaakhiyon ke sahare dard nahin chala karte,
aarzoo chalti hai
jab kabhi hume mila, dard hi tha wo silaa
dil kabhi zara jalaa, to dard -e- dil ko aarzoo bana diya


ek gaadhi lakeer hatheli pe kheenchi to taqdeer bana diya
tamaam daulato me lutata dil, dil nahin fakeer bana diya

Sauda

August 17, 2009 By: Anonymous Poet Category: Poetry

 reh reh kar saans par bhaari padi zindagi par
dekha kiye sab magar koi raqeeb na reh gaya

barse baadal, paaya saahil, paayi manzil
har aarzoo paas rahi, magar koi kareeb na reh gaya

raat ka nasha aankho me taaza surkh jo tha
subhe talak aankho se barasta reh gaya

pyaas rahi der talak, paani guzar gaya falak se
labo ne chakhaa boond-dar-boond,
magar halak tarasta reh gaya

kaaghazo ne waade kiye the kuch,
sauda tha jazbaato ka
magar wo kaaghaz aadha jhootha aadha sachha reh gaya

baarish bhi hoti rahi saude ki
raat se subhe talak peer barsaayi
magar main hisaab me kachha reh gaya

Varun

Koshish…

August 04, 2009 By: Anonymous Poet Category: Poetry

hataane ko andheraa main shab jalaata raha, 


wo raat ko bedardi se bujhaate rahe


 


kor pakad kar aatish ki, main garmaahat jodta raha


wo barf pighlaakar jazbaat bujhaane ki sujhaate rahe


 


main ik raah pakad kar raasta banata raha


wo har raah ke aakhir me ek raah banaate rahe


 


ek main tha, unhe manzil maan paas aata raha


wo rehguzar jaan mujhi se door jaate rahe


 


main apni wafaa me fanaa hota raha


wo apni bewafaai pe bhi itraate rahe 


 


- Varun