Mera Gaon…………
Jab kahi door sunai deti hai
mujhe mandir ki gantey
yaad aata hai mujhe mera gaon………….
Wo barish ki boondho ka
nadiyo me girna;
wo chiriyon ka kalraw
kheto me machalna……………….
Jab kahi door sunai deti hai
mujhe bailgari ki ahat
yaad aata hai mujhe mera gaon………….
Wo panghat pe sakhiyon
ka milna-bichharna;
Wo chulhe ki aanch me
rotiyon ka banna……………….
Jab kahi door se aati hai
sondhi maati ki mehak
yaad aata hai mujhe mera gaon………….
Wo matke ka thande pani ka swad
bujhata tha jo kabhi apni pyas;
wo baba ka amma se
you hi jhagarna………………..
Jab kahi door sunai deti hai
Dholak ki thaap
yaad aata hai mujhe mera gaon………….
Wo thandi wasa ka jhonka
jisme hoti the mahuye ki khoshboo;
Wo bhatti me humesha
gur ka pakna……………….
Jab kahi door dikhai deti hai
mujhe urti patang
yaad aata hai mujhe mera gaon………….
Wo raaton ko thandi
angeethi ki tapish;
wo syano ki baateen
kisse purane……………….
Jab kahi door sunai deti hai
kanchoon ki khanak
yaad aata hai mujhe mera gaon………….
Ch@ru
hey, its nice poem…….., realy i was falls to remined my past day……….. keeeeeeeeeeeeep Smiling………..
hey pretty amazing …..i like ur style..carry on!!
I have not read it fully now. But the initial 4 lines are enough to bring a deep breadth. Thanks for the lines. More power to your pen!
Dear Charu,
Tumne mujhe mera bachpan yaad dila diya. Thanks very very much. The poem was fantashticccc…..
good poem charu……apna gaoon yad aaa gaya
very very touching, jab main chhota tha toh sochta tha — kaash mera bhi gaon hota, aaj firr se wahi khayaal aaya
weldone charu, padhte huye main bhi apne gaon pahunch gya, najren moniter per thi or dilodimag gaon main.
wah wah wah wah ,lajawaab kavita hai.the rythem is superb.jio charu bean jiyo tame to cha gaye.
ha mujhe bhi bahut yaad aata, hai ye sab kuch, par aab shayad yaado se hi kaam chalana hoga, mai bhi yahi soch rahi thi gaon ke baare me kuh likhne ke liye, but tumne bahut aacha likha hai, to mujhe shayad sochna hoga………………naywayz…..bahut khoob
Charu tumne Bilkul theek kehan gaon yaani maatribhumi aur maatribhumi ka matlab maa ki bhumi. Maa aur Maatribhumi ko kabhi bhulaya nahi ja sakta hai.