BAHUT KUCHH BAAQI HAI..
Abhi khaamoshiyon ko gungunaana baaqi hai..
Abhi lamhon se bhi lamhen churaana baaqi hai..
Hua kya jo har taraf rangeeniyan si dikhti hain..
In rangeeniyon mein bhi khushiyaan sajaana baaqi hai..
Sabhi rishton pe hona aeitbaar baaqi hai…
Dilon ko jodna aur pyaar bharna baaqi hai..
Basey shahron mein gaon ko jagaana baaqi hai..
Kaheen gaon ko bhi raoshan karaana baaqi hai..
Kaheen syaahi ko kaagaz pe rachaana baaqi hai..
Kisi dulhan ko abhi doli bithaana baaqi hai..
Kaheen banjar zameen ko haraa banaana hai..
Kaheen fasalon ka lehlahaana baaqi hai..
Humaare har taraf ek daud jaisi chalti hai ..
Isse bachkar kuch aur karna baaqi hai..
Abhi to kuch nahi kiya,kadam badhaaye hain..
Abhi zameen baaqi hai,aasmaa baaqi hai..


