checkmate’s blog

its me Lata R. Ojha
Subscribe

Archive for March, 2009

YAAD KAR LETI HOON..

March 30, 2009 By: Lata R. Ojha Category: expression only


 


कुछ शब्ों में समेत कर पन बातें..

समक्ष सबके र' ेत हूँ..

शाय मेरे शब्ों में हैं उनक भ बातें..

उनके शब्ों से सम लेत हूँ..



ये ह तो होता है हर बार ,ब भ होत हैं बातें..

कभ तुम मेर ,मैं तुम्हार ?ह होत हूँ..

फिर एक िन.. ..

यूँह चलता ये मेल,टूट ाता है,रह ात हैं याें..

फिर याों क बातों से तुमको या कर लेत हूँ..


 


 


Kuchh shabdon mein samet kar apni baatein..


Samaksh sabke rakh deti hoon..


Shaayad mere shabdon mein hain unki bhi baatein..


Unke shabdon se samajh leti hoon..


 


Ye hi to hota hai har baar ,jab bhi hoti hain baatein..


kabhi tum meri ,main tumhaari jagah hoti hoon..


Phir..ek din..


Yoonhi chalta ye mel,toot jaata hai,rah jaati hain yaadein..


Phir yaadon ki baaton se tumko yaad kar leti hoon..


 





 

AAINA..

March 29, 2009 By: Lata R. Ojha Category: KUCHH YOONHI..


 


कभ आईना मुे मु?ालते[धो'े] में र'ता है..



कभ मैं ह धो'ा ेत हूँ 'ुको..

क्या करें ये ह तो रत है िए ाने क..

आँ' नम हो तो बताते 'ुश के आँसू हैं..


 


 


Kabhi aaina mujhe mugaalte[dhokhe]  mein rakhta hai..


Kabhi main hi dhokha deti hoon khudko..


Kya karen ye hi to reet hai jiye jaane ki..


Aankh namm ho to bataate khushi ke aansoo hain..


 





AANKHEIN..

March 24, 2009 By: Lata R. Ojha Category: expression only

 



Ehsaason ka koi roop nahi hota..


Jazbaaton ki koi shakl nahi hoti..


Yoonhi chalti jaati hai jo bematlab si..


Wo  zindagi koi zindagi nahi hoti..


 


Dhool bhari raahon pe chalke kadmon ne hai jaana..


Har ek raah ki koi manzil nahi hoti..


Na jaane kitni saansein band kamron mein hain ghutati..


Saans lena hi to bas zindagi nahi hoti..


 


Meri aankhon se chalakta hai kabhi unke dard ka paani..


Jinki aankhon ke retiley maru mein nami nahi hoti..


Dhanya hai unki sahanshakti to sahey jaaye hain..


Kabhi kisi chot pe unke muh se ‘uff‘ bhi nahi hoti..


 


Mere gunaahon ko ginaane waalon thoda sabr karo..


Niyati ke ghar der hai par andher nahi hoti..


Jaane kaisi hain ye khwahishen jeene ki ,jeetey jaane ki..


Aankhein sach dekh ke bhi nahi sotin..


 


 


 

(: GOOD MORNING :)

March 19, 2009 By: Lata R. Ojha Category: SHUBH PRABHAAT


 


(: SHUBH PRABHAAT :)


 


KATUTAA KA VISH NAHI..,SNEH AUR MADHURTA KA AMRIT HI..


SWASTH JEEWANKI NEEV HAI…


 


                                      :)


 

(: GOOD MORNING :)

March 18, 2009 By: Lata R. Ojha Category: SHUBH PRABHAAT


'


'''''''''''''''''''' '(: SHUBH PRABHAAT :)


'


DUKH AUR SUKH JEEWAN MEIN DHOOP CHHAANV SE HAIN..


HUM JITNE VRIKSH LAGAENGE UTNI HI CHHAAYA PAENGE..HAI NA?.


'


''''''''''''''''''''''''''''''''''''':)

KOSHISH..

March 18, 2009 By: Lata R. Ojha Category: just a thought...


Waqt ki raftaar par  thi zindagi ki koshish,
Maut ne rachi magar zindagi ke khilaaf saazish..


Jin daayaron ko humne bade pyaar se sanjoyaa,
Un daayaron ne bhi mujhse nibhaayi ranjish..


Kya hai gunaah? kisko is baat se tha matlab..
Mere khoon se rang ke khanjar,ki ishk ki aazmaish..


Mujhko nahi shikaayat,khanjar se ya khuda se..
Dobaara kar rahi hoon,saans lene ki ek koshish..

 



 

SHUBH PRABHAAT

March 06, 2009 By: Lata R. Ojha Category: SHUBH PRABHAAT


'


(:SHUBH PRABHAAT :)


'


ZINDAGI HUM SABHI KO MAUKA DETI HAI SAFAL


HONE KA..YE HUM PAR NIRBHAR KARTA HAI ,KAISE


US MAUKE KO SAMAJH KE SAFAL HON..


'


'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''' '' :)

HUMRAAHI..

March 06, 2009 By: Lata R. Ojha Category: just a thought...

 

Meri aankhon mein tum aks dekhte the apna…

Hum saath rahey bunte, jeewan swapnil sapna..

Meri zulfein ghataa ghaneri lagti thin tumko…

Mere chehre ka noor tumhaara apna tha…lekin..

Sach bolo ab lagta hai kaisa tumko?

Jab chaalis [40] saawan beet gaye hain jeewan ke..

Ab aankhon mein wo chamak nahi hai pehle si..

Na noor na ghataa ghaneri to bhaaye kya tumko??

Thodaa ruk ke boley wo sharmaye se..

“Tere chehre pe ab bhi pyaar hamaara dikhta hai..

Har umr-chinh vishwaas ke kisse kahta hai..

Hain saath hum ,nahi ye kamm,boley vyaakulta se..”

“Hai bhaagya ki hum apne dukh-sukh dohra lete hain,

Unse poonchho jo tanhai mein ghutate hain..

Main ab bhi tujhmein aks dekhta hoon apna..

Hue poore sab ab baaki hai bas ek sapna..

Antim waqt bhi sath rahey, jaen jab bhi..

Tanhaa na rahey hum mein se koi,kabhi pal bhar bhi..

Har dam the hum kadam,har pal baney rahein hum..

HUMRAAHI

 

SHUBH PRABHAAT

March 05, 2009 By: Lata R. Ojha Category: SHUBH PRABHAAT


'


(: SHUBH PRABHAAT :)


'


Kabhi kisi zaruratmand ki madad karne se inkaar karne


se pehle…ek baar..khud ko uski jagah mehsoos karke


'dekhiyega…aapka nazariya badal jaega..


'


'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''' :)


'


'

MY SIS..

March 04, 2009 By: Kevin Watkins Category: Personal

 

Aaj main usse mili jisne apnatv se mujhe moh liya..

Khud chhoti si pari ban ke mujhe maan diya..

Yahaan is ghar mein, ajnabi si thi jo milne aayi..

Jaane kab kaise,meri apni ban gayi..

 

Akeli thi main,badaa chaav tha chhoti behanaa ka..

Wo kami usne ‘di’ kahke poori kar di..

Usko apnaya tha par jaan aaj paayi hoon..

Jab kisi ne uske baare mein mujhe bataaya tha..

 

Mann kabhi jhoonth nahi bola karta..

Jaisa maine samjha wohi hai paaya ..

Tumhaari saadgi ne phir se mujhe moh liya

Kaun ho tum jo maine jaan liya..