Karna rukhsat mujhe to yoon karna ..
Karna rukhsat mujhe to yoon karna..![]()
Mere shabdon ko saath kar dena..
Mere swapnon ko haar kar dena..
Geet jo sang sang gaaye the..
Bol kaanon mein sab sajaa dena..
Rang sab preet ke rang kar hi ..
mujhe mera kafan odha dena..
Itr un mahake hue lamhon ka..
Phool har kahkahey ko kar dena..
Zindagi ka tamaam soonapan..
Hatheliyon pe meri rang dena..
Aankhon mein ashk nahi,bharna khwaab ..
Karna rukhsat mujhe to yoon karna..
