checkmate’s blog

its me Lata R. Ojha
Subscribe

Archive for the ‘Love’

KUCHH LOG..

August 28, 2009 By: Lata R. Ojha Category: Love

'


'


'''''''''''''''''''''''''


'


KUCHH  LOG..


'


Kabhi kuchh log zindagi mein aise aate hain,
Anginat rangon se har pal ko sajaa jaate hain..
Aur bhi log aas-paas rahte hain lekin.
Kuch log zindagi ko khaas banaa jaate hain..

Har pal ke ehsaas mein hoti hain unki yaadein..
Ek-ek shabd yaad hoti hain unki baatein..
Aisa jaane kya alag hota hai un logon mein..
Sabke hothon pe muskaan sajaa jaate hain..

Dagar jeewan ki hoti hai badi mushkil lekin..
Apni yaadon se wo aasaan banaa jaate hain..
Kabhi kuch log zindagi mein aise aate hain..

FROZEN ROSE

August 27, 2009 By: Lata R. Ojha Category: Love

FROZEN ROSE….

Buried in the layers of your thoughts..

Deep freezed in your heart..

I am a Frozen Rose..

Days spent together..talking n sharing..

are now..past..

They are nowhere in your memory..but…

Still I live..

Deep freezed..in your heart..

I am a Frozen Rose..

I do cry..long for you…desires still burn..

and I become your part..

You dont feel me,I know,but I am not apart..

I still live..

Deep freezed ..in your heart..

I am a Frozen Rose..

SAANSON MEIN TERI..

August 18, 2009 By: Lata R. Ojha Category: Love


'


Saanson mein teri khushbu,kaanon mein teri aahat..


Hum to jiye jaate hain ,aankhon ko band karke…


'


Tanhai se darte the,khaamoshi se darte the..


Ab khamosh tanhai mein tere geet hi gaate hain..


'


Na waqt hi ruka hai,na log hi badale hain..


Yaadon ne teri mujhko poora badal diya hai….


'


Ab lab nahi haste hain,aankhein nahi roti hain..


Jabse tere liye mere dil,ye duniya chhor di hai..


'


:)


'


'


'

ISHK HI TO HAI…

April 04, 2009 By: Lata R. Ojha Category: Love

 

चमकती चाँदनी के काजल सी रात..

सर्द हवा और तारों का साथ..
लहराती ज़ुल्फ़ें,बेचैन दिल..
तेरा ख़त और प्यार की बात..

जागी आँखें सोए से हम..
मुस्काते लब,पलकें नम..
उड़ता आँचल,ठहरा पल…
काबू ना आएँ ये जज़्बात..

बातें तेरी प्यार भरी..
करने लगी हैं,जादूगरी..
भाने लगी है हर हलचल..
तुमने समझ ली मेरे दिल की बात..

ये..इश्क ही तो है..

YE KYA KAH DIA TUMNE…

January 13, 2009 By: Lata R. Ojha Category: Love


Meri zulfon ko sanwaarne hawaa aayi hai..
Zulf bikhrin  yoon  jaise ki ghataa chhaayi hai…
Ud ke aanchal ne bhi chehra chhupa liya hai mera..
Sharm gaalon pe surkh rang sajaa laayi hai..
Mere kaanon mein ye kya kah dia…
tumne… 

                                  

Neend aankhon mein ab nahi aati…
Zindagi geet tere hai gaati..
Naam japte hain lab,jaane kyon muskuraate hain..
Band aankhon mein bhi,teri tasveer hai nazar aati..
Mere kaanon mein ye kya kah dia…
tumne…

Mujhko chhu kar jo hawaa guzarti hai…
Jaise khushbu teri har oar bikher jaati hai..
Tera har shabd,jaise ‘maiy’,piye jaati hoon..
Ishk ban ke nashaa, aankhon mein umad aata hai..
Mere kaanon mein ye kya kah dia… tumne..


 


 

JEE LOON TO CHALOON..

December 16, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Love


 


Main ek khwaab tere naam ka jee loon to chaloon…


Tere sapnon mei jagah apni banaa loon to chaloon…


Saari khushiyon ko tere naam pe kar dena hai…


Tere aansun apni aankhon mein sajaa loon to chaloon..


 


Main bahut khush hoon,mere saath too bhi hansta hai..


Tera wo muskuraata roop dil mein basta hai..


Meri saanson mein mahakta hai bas too hi too..


Bin kahey teri har baat jaan leti hoon…


 


Log aate hain khaali haanth,khaali haanth jaate hain..


Khushnaseeb wo hain jo ehsaas liye jaate hain..


Main bhi khushbu teri ,aahat teri basaa ke khud mein..


Do ghadi zindagi jee loon to chaloon…


 


 

Page copy protected against web site content infringement by Copyscape

AAJ PHIR…

December 15, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Love

 


Aaj ki saanjh,itraati hui ,dulhan si saji ,mujhe chidhaati rahi…

Aaj phir main ,aankhon mein aansu liye ,teri raah nihaarti rahi..

Har dastak mein ,tere kadamon ki laya ,dhoondhti rahi…

Har jhonke mein,hawaon mein ghuli teri khushbu,talaashti rahi..

 

Saanjh apni raunakon pe khush hoti rahi…

Meri tanhaiyon pe hasti rahi ,raat roti rahi..

Teri tasveer meri aankhon ki nami mein ubharti rahi,khoti rahi..

Par dhadkano ko aas thi tere aane ki,yoon hi  subah hoti rahi..

 

Aaj main dulhan si saj ke saanjh se nazar milaungi…

Kabhi muskaungi,kabhi itraungi..

Dekho saanjh kaisi dhundhlai si khamoshi se dekh rahi….

Meri aankhon mein basi teri chamak mein khoti ja rahi..

 

Teri aahat se raushan ye pal aur teri khushbu hawaa mein ,

Ghulti ja rahi….AAJ PHIR..

 

 

 

Page copy protected against web site content infringement by Copyscape

Untitled

October 05, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Love

 

 

Mann bhaav zaraa se mukt hue,kuch abhilashaon se yukt hue…

Tanmayata chhoot gayi mann ki ,preet se poorey sikt hue…

 

Adhkhule adhar,muskaaye mand,nainon se barse prem chhand..

Gaalon pe raktim si aabhaa,maathe pe swedki boondein chand…

 

Badali mein jaise chaand chhupe,mukh dhak lete lehraate baal..

Jyon paer santulan hon bhooley,chalein ‘ek taal kabhi chaar taal’..

 

Bajati choodi,chhanki paayal,har hriday karey vihwal,ghaayal..

Madmast bayaar karey paagal,thaamey na thamey udata aancchal…

 

AISE MEIN..

Aise mein barkha thirak gayi…

GHANGHOR GHATAEN..

Ghanghor ghataen baras gayin….

Baras gayin…

                        ****************************

 

 

Page copy protected against web site content infringement by Copyscape

Thaam kar main haanth tera'

September 24, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Love

 

Thaam kar main haanth tera ,baadalon ke paar chal doon..

Mann kahey sab swapn-ladiyaan ,ab tumhaare naam kar doon..

 

Tum jo mere saath ho to ,har kathinta paar kar loon..

Neeli chaadar aasmaani ,likh ke tera naam ,bhar doon..

Har taraf teri mahak ho,har taraf teri jhalak ho…

Subah tujhse hi shuru ho,shaam tere naam kar doon..

Thaam ke main haanth tera..

 

Mere mann ke chor ho tum,is pathik ke thaor ho tum…

Neend ho tum ,chaen tum ho,mere din aur raen tum ho..

Ashru tum ho ,geet tum ho,mere mann ke meet tum ho..

Tum hi tum mujhmein dikho, main khud ko tere rang rang loon…

Thaam kar main haanth tera…

 

 

Page copy protected against web site content infringement by Copyscape

Phir lafz tere yaad aate hain'

September 22, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Love

 

Jab tez hawaon ke jhonke,aa,baalon ko uljhaate hain..

Baarish ki mand phuhaaron se ,tann-mann ko sihra jaatey hain..

Phir lafz tere yaad aate hain…

 

Phoolon ki halki mahak kahin se, aa-aa,mujhe sataati hai..

Us mahak mein teri hi khushboo,jab saanson mein ghul jaati hai…

Tere geet dhadkanein gaati hain..

 

Jab tez chamakti bijliyaan,ghan ki laya pe ithlaati hain…

Tere saath ki madhur smritiyaan ,mann-aangan mein chhaa jaati hain..

Ye palkein khud jhuk jaati hain..

 

Jhurmut mein jab dikhte jugnu,hain jagte aur chhup jaate hain…

Teri aankhon ki bhaav-bhaasha ke bhed kayi khul jaate hain..

Tere saath ke saare pal,ek saath aa jaate hain..

 

Phir tez hawaon ke jhonke…behkaate hain..

Uljhaate hain..,sihraate hain…,mehkaate hain…

Phir lafz tere yaad aate hain…

Phir lafz tere yaad aate hain…

 

 


                                                 

 

 

Page copy protected against web site content infringement by Copyscape