MITR:MY FRIEND
‘mitr my friend’ revathi k nirdeshan mein bani film,jo bina faaltu shor kiye,naari ke anek roopon ko abhivyakt karti hai..sath hi sath uskey antarmann mein hone waley dwand ko bhi safalta sey darshaya hai….jeewan ke utaar chadhaav mein jeewan sathi ke badaltey vyavhaar ko bhi sweekaar karney ka prayaas karti bhartiya naari ki vedna,samvedna kovaani dene ka safal pryaas hai…
kitna anokha hai maanav jeewan aur us sey bhi anokha maanav vyavhaar…ek purush jo apni patni ko samajh nahi pata,uski baaton ko sunna nahi chahta, jo uskey liye sirf ek anchaha bojh si ban gayi ,wohi jab ek mitr ke roop mein ajnabi ki tarah mili ,wo jo ek andekhi aur samvedansheel vyati ki tarah parichit hui ,to usi purush ko wo kitni aakarshak aur nayi lagi.aur ussey computer pe chat karney ke liye us ativyast insaan ke paas khaali waqt bhi hone laga…hai na aashcharya??
ek patni jo apney jeewan saathi ko kisi tarah apne se perichit nahi kara paayi,jo uskey saamne swayam ko abhivyakt karna chah ke bhi nahi kar paa rahi thi,uskey anjaan mitr ke roop mein itni sahaj aur mukhar ho gayi ki apni pareshaaniyon ko,sukh dukh ko bhi baantney lagi…..hai na kathin-jatil maanav swabhaav??
par in sabsey alag, insabkey aagey,in sab jatiltaon ke baad bhi ,ek baat sashakt roop se ubhar ke saamne aati hai ……’…MITRTA’…..
mitr chahey jis bhi roop mein miley ,agar wo sachcha hai ,vishwasniya hai ,to ye ishwar ka sabse badaa vardaan hai…
