SHUBH JANMASHTAMI
Mann haar kahey mann ki batiyaan ,
kaise aakhar? kaisi patiyaan?
Asuan ka maun hi shor karey,
kaise vyakul mann dheer dharey ?
Hai! bol kahaan bisre ban mein?
Chup kaahey ho kyon maun dharey?
Kuch bolo Kaanha…..
Kuch bolo Kaanha maun na ho,
kahin hum hi praan na tyaag chalein..
Madhu vaani ki ek aas liye,it se ut dhaam ki raah karen..
Kuch bolo Kaanha..
Kuch shabd to ho ki peed ghatey,
aashankit bhaav ki bheed hatey..
Tumhari boli ka amrit pi,atript mano ko tripti miley..
Kuch bolo Kaanha…
Kaanha bhi mann-mann muskaaye,
sab bhakton ko rahey tarsaaye..
Sahsa bansi dhun goonj uthi,
sabke mann prem hilor jagi..
Hue bhakt nihaal,nihaar rahey..
Kaanha ke hi gun gaaye rahey..
Har oar dikhey phir preet ke rang..
Kaanha thirke Raadha ke sang….

