checkmate’s blog

its me Lata R. Ojha
Subscribe

Archive for the ‘Personal’

MY SIS..

March 04, 2009 By: Kevin Watkins Category: Personal

 

Aaj main usse mili jisne apnatv se mujhe moh liya..

Khud chhoti si pari ban ke mujhe maan diya..

Yahaan is ghar mein, ajnabi si thi jo milne aayi..

Jaane kab kaise,meri apni ban gayi..

 

Akeli thi main,badaa chaav tha chhoti behanaa ka..

Wo kami usne ‘di’ kahke poori kar di..

Usko apnaya tha par jaan aaj paayi hoon..

Jab kisi ne uske baare mein mujhe bataaya tha..

 

Mann kabhi jhoonth nahi bola karta..

Jaisa maine samjha wohi hai paaya ..

Tumhaari saadgi ne phir se mujhe moh liya

Kaun ho tum jo maine jaan liya..

 

 

 

O Maa..

October 14, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Personal



Maa..

Phir yaad karoon us aanchal ko,mamtaa se bhari un aankhon ko…

Wo chhaon jo mujhse rooth gayi,barson pehle ki baaton ko..

Main kabtak neer chupaungi ,har pal hans ke dikhlaungi…

Maa.. barson beet gaye hain ab,kab aapko dekh main paungi?

Is aas mein jeeti jaati hoon ek din main bhi wahaan aaungi…

Shayad ek din ek pal ko sahi,phir aapko chhoo main paungi..

Mamta ki chhaon mein bachchi ban,nishchint ho ke so jaungi…

Shoonya..

August 12, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Personal

Jo sneh sikt the aaj rikt hain..

Ashrupoorn har ek shabd hain..

Tees bharaa ek swapn kalash aur

Virakt sa mera ye mann hai…

Koi bhaavna shesh nahi ab..

Prem ya koi dwesh nahi ab..

Koi bhi avshesh nahi ab..

Bas..stabdh mera ye mann hai..

Swayam ko taj jisko jeeti thi..

Amrit sa har pal peeti thi..

Wo vaani to lupt hui ab..

Ek shoonya mein lipata..mera mann hai…

Maa..

July 25, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Personal

 

                                                           MAA..

मैं तुम्हे ढूंढ के ो ला पात…

पन मऱ् तुम्हें बता पात..
पने ?म में तेरा संबल पात..
पन 'ुशियाँ तुम्हें ि'ा पात..
ो तुम्हे ढूंढ के मैं ला पात….

कितन मुश्किल मेर सुल ात…
ो तुमसे कुछ बता पात…
तेरे नुभवों क ? र से..
थोड़ मोत भ ो मैं पा ात..
तुम्हें ढूंढ के ो ला पात..

है सभ कुछ,फिर भ कुछ कम है..
तेरा चेहरा है िल में ,आँ'ें नम हैं..
तेरे आँचल का कोर भि?ा पात तो..
मेरे मन को कुछ आस मिल ात…
ो तुम्हें ढूंढ के मैं ला पात..

तुम्हे े'त थ पूा करते..
प ्योति ना कम होने पात..
हमको कोई फिक्र ना रहत थ कभ..
पास ो मैं एक पल भ आ ात..
तुम्हें ढूंढ के ो ला पात..

 

                                 [Written by me when i was in 10th standard :)] 

Kash..Maa aap hotin..

May 11, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Personal

 

Aaj wo hotin to..,kitne khush hotey hum…

Unko yaad karke,aaj aankhein hain num..

har pal,sab pal ki yaadein,dohra letey hain hum..

mann hi mein hans letey ,aur ro letey hain hum..

Sab kuch jeewan hai deta ,par hai kuch phir bhi kam..

MAA jo aaj hotin to,sampoorn hotey hum..

Par har pal unki mamta,sahi raah sujhaati hai..

Main unka ansh hi hoon,mujhko samjhaati hai..

kuch sneh pusp samarpit,hain aankhein purnam..

Maa ko naman humaara,preshit karte hain hum..

                                              

 

Meri Maa..

March 22, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Personal

Maa ki yaad mein…

Sneh deepak phir jalaa do

Mujhko paas apne bulaa lo

Phir se apni goad mein maa

Bachchi banaa mujhko sula lo

Phir sunao loriyaan

Haanthon se thapki do

Main khushi se khilkhilaun

Tum baahon mein jhula lo

Meethi jhidki de ke rootho

Main tumse lipat jaun

Apne aansoo jo dikhaun

Tum jhat balaen lo

Phir se yaad aaya hai sab

Hai tumse juda jo

Kaise phir wo waqt laun

Maa tumhi bula lo

Phir se apni goad mein maa

Bachchi banaa mujhko sula lo

Sneh deepak phir jalaa do

mujhko paas apne bulaa lo..

just for you all friends..

March 13, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Personal

Dear friends…I was humming these lines today..

”Na jaane kyoon…

hota hai yoon zindagi ke saath..

achanak ye mann,

kisi ke jaane ke baad,karey phir uski yaad..

chhoti-chhoti si baat..

Na jaane kyoon….   ” 

From one of my favourite songs.Just wanted to share it with you all..it’s a kind of message to express  love n regards  to our near n dear ones….before its too late…And so,i try not to forget .

Wish you all a great day…

KEEP SMILING…:)

Thank you all ..:)

January 30, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Personal

 

THANKS  ALOT FRIENDS FOR LIKING MY POSTS AND ENCOURAGING ME…MAY GOD BLESS YOU ALL WITH LOTS OF HAPPINESS..ALWAYS..:)

KUCHH AVYAVASTHIT VICHAAR..

January 24, 2008 By: Lata R. Ojha Category: Personal

                                         

 Kaun hoon main?,ek jeevan..

Mrigmarichika mein bhatakta hua..

Aprapt ko prapt karne ke prayaas mein ..

chhatpataata..

 

Kya hoon main?,ek deh nashwar..

anginat sambandhon mein bandhi..

un sambandhon ke nirvaah mein,

swayam ki aatma se door hoti ,moh mein uljhi..

 

Kya laayi thi saath?,aatma matr..

us aatma se judey prarabdh..

janm se jude anek sambandh,niyam kiye prapt..

un sabko hoon jeeti,sukh-dukh bhogti..

 

Kya le jaungi saath?,aatma matr

taj ke nashwar deh ,maati mein mila,le saath,

apne karmon ka phal..prem se ho trapt shaant..

athwa apoornta ka aabhaas..kuch kami..

 

Ye Ish-bhakti ki baat kya?..

Apni aatma ko pehchaanane ka prayaas..

aseem se judey rahne ka,shaanti,prem,

sampoornta paane ki aas,pryaas..

 

Kyonki..jiske paas se aaye hain hum,uski,

aas karna,Parampita ke prem va mamatva ko jeena.. 

ye hi to hai is jeevan-mrityu chakra se mukti ka maarg..

To kyon na karen hum Ish-bhakti??

 

 

 

 

 

 

 

MAIN MAUN RAHI..

December 11, 2007 By: Lata R. Ojha Category: Personal

Jaise ho dooba dooba mann’

Khoye hon shabd,khoya varnan..

Koi vyatha nahi,koi katha nahi..

Koi kintu,parantu,anyatha nahi..

Koi bhaav nahi,durbhaav nahi…

Koi daanv nahi,koi taav nahi…

Koi satya asatya ka gyaan nahi…

Koi din aur raat ka bhaan nahi…

Aise chup chaap si baithi hai,

jaise jeewan kuch shesh nahi…

Mujhe dekh bahi ashru dhaara,

wo maun rahi,boli bhi nahi…

Mujhe prashn mila ‘kyon prakriti udaas?’

Kya kahoon bhalaa?? Main maun rahi…