SOORYA..
Wo chalte-chalte thak gayaa..
Apni rashmiyon ko samet kshitij mein kho gayaa..
Failaa gayaa jaate-jaate syaah si chaadar..
Asankhya taaron ke bich ,jagmagaata chaand roshan kar gayaa..
Kisi aur chhor,sameti hogi raat ki syaahi..
Pighalte sone ke rang si,kesar pagi rashmiyon se,sajaaya hoga..
Phoolon ki mahak,bhaoron ki goonj, aur sheetal pawan ko uksaaya hoga..
Saara din chalega,phir raat ka kaajal,aakaash pe mal jaega..
dekho na phir…
wo chalte-chalte thak gayaa..
Apni rashmiyon ko samet,kshitij mein kho gayaa..
Kahin ast,kahin uday ho gayaa..
Soorya..




