kitna sundar sapna dekha..
sapne mein saagar tat dekha..
aati jaati hui lehron se..
bheegta hua ek vraksh dekha..
lambi faili jataen thin
jadein door tak jaati thin..
un jadon se nikale paudhe the..
aur thin chamkati pattiyaan ..
mann tha prassann,jab aankh khuli..
thi ashtami navraatron ki..
jaise pooja kar ke main uthi..
aaya tha dwaar pe bhikchharthi..
bola kuch de do bhoonkhe ko..
main bhi kuch lekar dwaar chali..
kaisa jarjar sa tha nirbal..
aas lagaaye tha baitha..
mujhe dekh duaen de de kar..
jholi phailaye jhat se utha..
jigyaasa vash maine poochha ..
kyon bheekh maang kar jeete ho..
jitna ban paaye kaam karo..
kyon maarey maarey firte ho..
usne dekha bhari aankhon se..
bola main santaan ka maara hoon..
jiski khaatir dhan ekatr kiya..
uski hi aankhon ka kaanta hoon..
kitna bebas hoon beti ki..
usko kuch kahaa nahi jaata..
par apne rakt ka diya hua..
apmaan bhi sahaa nahi jaata..
phir bhi jeena to hoga hi ..
is liye hi chalta rahta hoon..
shaayad tum sabka karz hi tha..
jo aise roti paata hoon..
wo chalaa gayaa itna kahkar ..
main sochati rah gayi khadi khadi..
kitna swaarthi rakt hua ..
kaisi nishthur duniya ye hui..