checkmate’s blog

its me Lata R. Ojha
Subscribe

Archive for the ‘yaadein’

bachpan ke din

August 09, 2008 By: Lata R. Ojha Category: yaadein

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''' BACHPAN KE DIN………….

Wo bhi kya din the.. school ki uniform,bhaari sa bag,paani ki bottle aur bus stop…aur Monday'' :) ..

Mann hi mann Bhagwaan se manaate rahte..‘Bhagwaan aaj baarish ho jaaye” ya..‘aaj bus kharaab ho gayi ho ‘…Aur jab bus saamne dikh jaati to..‘Bhagwaan aaj teacher absent hon.. :) .Jis din bhi inmein se ek bhi prarthna Bhagwaan sun lete ..WAAH.. :) hum Bhagwaan ke fan ho jaate..

Mere badey bhai' aise din khoob pareshaan karte.. Kahte ‘Lata jaldi se taiyar ho jao,chalo main pahuncha deta hoon school’ ,aur main ek aur prarthna dohraane lagti ‘Bhagwaan bhaiya ki bike start hi na ho..’ :)

Aise hi ek din ki baat hai..Sunday se hi khoob baarish ho rahi thi aur Monday ki subah jagah jagah sadakon pe paani bhar gaya tha,jab school bus nahi aayi to [chhote bhaiya aur main ] hum dono khoob khush..Tabhi badey bhaiya ka aadesh hua..‘bachchon chalo main pahuncha deta hoon :(' Chhotey bhaiya ka school door tha aur ab waqt bhi kaafi ho chuka tha,par mere school tak aaraam se pahunch sakte the,so.. ‘Lata, chalo tumko school to jaana hi hai’..Main chhotey bhaiya ki kismat se rashq karti,Badey bhaiya ke darr' se chupchaap chal deti..Wo school ke paas aane par poochte,‘kya sach mein mann nahi tumhaara jaane ka?’.. Arrey..Bhagwaan main to aaj se aapki sabse badi fan hoon.. Jawaab deti ‘ ji bhaiya’.. Lekin itni der mein to hum school ke gate ke saamne hotey.. :(''''''' AB??

Mann ghabraane lagta,aaj to phans gayi bachchi, kisi bhi teacher ne dekh liya to punishment to pakki hi hai,aur sabke saamne' insult hogi so alag..Ek baar bhaiya to ek bar school ki taraf dekhti… Bhaiya please…[5 minutes aur ho gaye] Tabhi achaanak… Bhaiya ne kahaa ‘Beta chalo waapas chalte hain…WOW…Bhaiya sabse achchhe

Baad mein pata chalta ki bus driver' jinhein hum Subramaniam uncle kahte the,unhone ishaara kar diya tha ki'’ Rainy day ‘ ho gaya hai… :) :)

PRIYU..

August 05, 2008 By: Lata R. Ojha Category: yaadein

'

Aaj kitne'varshon baad mujhe apni sabse pyaari' badi bahan'[cousin] ke saath kuch waqt bitaane ka mauka mila'.. hum behad khush the..Saath bitaaye beetey dino ko yaad karke, jaise phir se, sab pal jee rahey the.. Di ne kahaa chalo saath Amitaabh ki movie dekhte hain..Maine kahaa ok..Par achaanak…Jaise wo mere saamne aagayi. Kaun?? Priyu aur kaun? Amitabh uska favourite hero,aur ‘Silsila ‘ uski favourite film..Di aur main film dekhne baithe lekin mere zehan mein to Priyu ki baatein' thin..

Ek baar humaari aapas mein ladai hui :) aur humne kabhi na baat karne ka faisla kiya..Lekin hum..aur bina baat kiye rah paate :)? thodi der baad phir se ek doosre ka haath thaamein jaaney kin baaton mein kho gaye :)

Mujhse Priyu ne poochha tumhe kya aisa laga tha ki hum ab baat nahi karenge? Aur jawaab mein hum dono hi khoob hanse the :) ..Tab kya pataa tha ek waqt ye bhi aaega jab arsaa ho jaega ek doosre ko dekhe aur aawaaz suney ?

Jaaney kyon ab to aisa lagta hai jaise usko Betu ki yaad hi nahi..Aur Betu aaj bhi Priyu ko yaad kiye jaa rahi…. Priyu shaayad sab bhool ke kahin aur vyast ho gayi ,apni duniya mein..

AB SHAAYAD WO KABHI NA AAYE…KABHI NAHI…………

'''''''''''''''''''''''''''''''''''''KABHI BHI NAHI….

''''''''''''''''''''''''''''''

'

PRIYU AUR MAIN..

July 23, 2008 By: Lata R. Ojha Category: yaadein

 

 प्रियू "र मैं..हम ोनो ह साथ सपने े'ते "र 'ेलते. प्रियू?? मेर सबसे प्यार ोस्त "र कौन? कुछ भ हो ाए,हम रो़ थोड़ ेर सपने े'ते,क्योंकि हमें ल?ता था सपने े'ें?े तभ तो हम आ?े बढ़ें?े,उनको ने क कोशिश में :) प्रियू हमेशा न'रे करत,कभ नारा़ होत कभ ?ड़त "र तब तक नह मानत ब तक मैं ना मनाऊ.पर मेरे बिना रह भ नह पात :) मुे पता था. कितन बातें होत थ हमारे पास,उफ्फ.., ितन ेर भ बात कर लें ,'त्म ह नह होत थ..मुे बतात मुपे कौन से रं? के कपड़े च्छे ल?ते हैं,या ल?ें?े. "ह..प्रियू "र मैं..ाने कितनो क चिढ़ "र लन क वह थे :) हम हर वक़्त साथ ो रहते थे. मेर प्रिय ोस्त प्रियू.. कितना समय बत ?या है उसको े'े,बात किए "र लड़ाई किए :) पर सबसे धिक या आता है साथ सपनों में 'ो ाना..
शाय वो भ यहं कहं हो…पढ़े ो मैने लि'ा..पर क्या उसको भ मेर या हो?? क्या वो भ या करत हो? ो वक़्त हमने साथ बिताया था? क्या पता?
पर उसक ो ?ह है उसको मैने सहे के र'ा है,क्या पता कब वो आके कहे ” बेटू तुम कभ नह सम सक. भुला िया ना? ”
े'ो प्रियू बेटू भूल नह तुम्हे,ना भूल सके? कभ…वो तो तुम्हारा इंते़ार कर रह…आना ़रूर…
आ"? ना?

                                                                                [मेर डायर से]

dhundh se tera naata….

October 15, 2007 By: Lata R. Ojha Category: yaadein

dhundh jab sadakon ko chhupa deti hai

dhundh jab gharon pe chha jaati hai

dhundh jab aankhonpar aa jaati hai

dhundh tab yaadon se teri hat jaati hai

   teri yaad aati hai…..

 

dhundh ko sooraj jab tapaata hai

apni kirano se usey hataata hai

dhundh jab nazaron se ojhal ho jaati hai

teri yaadon pe,tasveer pe,dhundh si chha jaati hai

   teri yaad so jaati hai,kho jaati hai….