Sooraj babane ka iraada mat rakhna
pahle jalane ki taiyari rakhana
jhonpda ho to bas diyaslai rakhana
aur zalzale ka musalsal intazaar ho,
tabhi andhera jagmaga sakata hai
bhatke huae logon ko
saahil mil sakata hai.
kyon ki savera jab bhi hua hai,
oonchi-oonchi imaaraton ne
Sooraj ko agwa kar liya hai
aur tathakathit bade logon ne
garibon ki akulahat ko
maatra mauka maana hai
avsar paakar
tizoriyon ko kaale dhan se bhar liya hai.
0 Responses
Stay in touch with the conversation, subscribe to the RSS feed for comments on this post.