Uthaa kay haath Khuda say bas maangi yahi dua,
naseeb hon khushiyan tumhain tum khush raho sada..
Tum ko rahat milay , tum ko chahat milay,
tumhain saray jahan ki muhabbat milay..
Jahan main sab se hon achay tumharay naseeb,
koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay..
Dil ki har aarzooo poori Khuda karay,
tumhain chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay..
Mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan,
dua hay yeh bas tum ko kabhi gham na milay yahan..
thanks 4 sharing …………..
very nice………………………dua……………….mangi hai…………..achha laga padhakar…………….
too beautiful ….
LOVELY….BEAUTIFUL….KHUDA SE HUM BHI DUA KARENGE…..ADITI MUST WRITE FOR US FOREVER……
GOODDDDDDDDD…….aapki dua jaroor qabool hogi……abhi-2 khuda se baat hui to unhone bola ki jo dusron ki khushi chaahte hain……unko hum dukhi kar hi nhin sakte……so dont worry…….aapki saari duaayein, jo ab tak aapne maangi hongi….uski file bhagwaan ne mangwa li hai apne chamber……ab ek2 kar k aapke ssari duaayein kabool ho jaayengi….
bahut suunder kavita…….. aur urdu shabdon ka achcha upyog kiya hai aapney….. “khush rahe tu sada yeh dua hai meri…… bewafa hi sahi dilruba hai meri”……… yeh panktiya jahan may agayi apki kavita padhkar.
beautiful creation………………