Bin uskay zindagi dard hai tanhai hai
Meri aankhon main kyu maut simat ayyee hai
Kehtay hain log dost ko apna kaho
dost main phir kyu ruswayee hai
wo na aaya to dil ko lubhanay ko mare
Shab- e -hijar main uski yaad chali aayee hai
Mehfil main reh kar bhi tanha rehna
Yeh ada uski dosti nay sikhlayee hai
Yeh bhi uski dosti ki anayat hai Yaro
Main tamasha bani or dunia tamashayee hai
Intizar main kisi kay na raat ko barbad karna
Doobtay taroon nay mujhe bat yeh samjhai hai
uss say taaluk hi kuch aisa raha hay Dostoon
jab bhi sochti ussay ankh bhar aayee hai
ANKH BHAR AAYI >>>>>>>>>>>>>>>>>>
TU Too Harzai hai ..
ADITI
bahut sunder laine hain