tasvur me ek tera aana…………….fizaa ka badal jana
|
||||||
|
tasvur me ek tera aana…………….fizaa ka badal jana gulo ka khil-khilana ………….aur sabaa ka mehak jana………….
murdo kaa shehar ..basti murdo ki…………………her tarf murde hi basa karte hain… uthana hai haath to upar uthao………………………..rehmat to bas ”khuda” hi kiyaa karte hain…..
haal ki kuchh ghatnao ne likhne ko prerit kiya….!
murdo kaa shehar ..basti murdo ki…………………her tarf murde hi basa karte hain… uthana hai haath to upar uthao………………………..rehmat to bas ”khuda” hi kiyaa karte hain…..
haal ki kuchh ghatnao ne likhne ko prerit kiya….!
ek darakht jo bachpen se juda hai….meri bahut sari yaado ke sath…..aaj nahi raha…..
khabar na mili
ek chaand to nazar aaya……………….. per duje ki khabar na mili……………………..
didaar ko tarasti nazarein hui ”zakhmi” per jis ko dhundha…..wo nazar na milli……..
jubaan puchh-puchh kar hui ”ghayal” per aane walo me ….us ki khabar na mili………..
ye dil tuut kar chak-chak hua………….. per is shab ko kabhi sehar na mili………………
ek chand to nazar aaya……… per duje ki khabar na mili…………………….
asha
Gar sun sako Is mehekti fiza ne , is aabon hawaa ne , is gul-e-gulzaar ne , is nazar-e-khumaar ne , is rookh-e-roshan ne , gar sun sako to sun lo darakhton ne jhuk-jhuk kar, shabnam ne bichh-bichh kar, guncho ne khil-khil kar, gulon ne hans-hans kar, dariya ne beh-beh kar, dil ne dhadak-dhadak kar, kuchh to kaha hai, gar sun sako to sun lo. ASHA Bhaav Shoonya Nazarein
bhav shoonya nazarein ambar ko takti sikhaaya jinko thha ungli pakad ke aaj unhi ke sahaare ko tarasti bhav shoonya nazarein
siskiyan hain avruddh kantth mein rudan se deewaarein darakhti kiya thha jin par jaan nisaar aaj unki nazaron mein khatakti
dekhnaa thhaa jab yeh din humko phir kyun unke liye hai mamta tarasti
aate hain vichaar mann mein baaram-baar maat-pita ko kyun nahi ye peeddhi samajhti
ASHA Tripti Dophar kaa waqt thaa Ghar ki munder par khade Nazar utthai aur dekha Ghar kaa pichhwaada aur gulmohur kaa who ped Jo ki mujhe bahut azeez hai aur pakshiyon kaa aashiyan hai Kuchh log susutaa rahe they Jo ki paas hi kaam karne wale mazdoor they Ek mazdoor par nazar gayi dekha potli kholi aur baitth gaya Do roti aur pyaaz ke tukde they Laga khaane bade chaav se Mano amrit mil Bhojan samaapt kar gad-gad paani piya aur so gaya gulmohur ki chhaav mein Chehre par aseem tripti ke bhaav laga mano usey sab kuchh mil gaya ho To tripti kyaa A.C. mein soney aur suswaadu bhojan se hi milti hai? Nahi naa? ASHA Tu Jo Nazar Aaya Tu jo nazar aaya mere humdum In nazaron ko sukoon aur dil ko karaar aaya Tu jo nazar aaya Khwabon ko lage pankh aur labon per maahtaab aaya Khil Deedaar se tere is kadar jo zameen par chaand utar aaya Tu jo nazar aaya ASHA |
||||||