Untitled

Devotional Song

piyu ki chhavi basi nainan mein

manmohak muskan saji adhran mein

rehti hoon sundar sapnan mein

jyon parinde neel gagan mein

baar-baar nirkhoo darpan mein

bas jayoon main piyu nainan mein

piyu ki chhavi basi nainan mein

Piyu more hain main hoon piyu ki

nishdin lagi rahoon sumiran mein

desh paraaya log paraaye

laage na manwa mora is jag mein

jeevan dhanya ho jaye

jagah jo payu piyu charnan mein

piyu ki chhavi basi nainan mein

ASHA

Dear freind s i was busy so i could not read ur blogs, I will do so shortly. Happy Diwali to you all{belated}


Untitled

parwana

tere ishq ne mujhe is kadar

diwana kar diya………………..

dil to dil……………….

akal se bhi begana kar diya………

butparashti kya hoti hai……….

khabar na thee doston

us ko is kadar chaaha ki is kabe ko

but-khaana kar diya……..

woh aashna jo jaan hai meri

usne hi mujhe ”jaan” se begana kar diya………

chiraag-e- ishq mein kuchh is kadar jale……….ki

ju ”andleev”[ek chidiya] ko parwana kar diya..

ASHA


Untitled

Jeevan ki Kahaani Kashti ki Zubaani

Yeh jeevan ki kahaani hai kashti ki zubaani hai

Raahon mein aaye tufaan hazaar rukna nahi hai tumko

Badhna hi toh zindagaani hai.

Sukh-dukh ke thapedon se kashti toh dagmagaani hai

Hausla gar ho buland toh manzil toh tumko paani hai.

Yeh jeevan ki kahaani hai kashti ki zubaani hai.

Haar gaya jo jeevan mein bahut kamzor woh praani hai.

Jeet kar dikhaana hai yahi toh zindagaani hai.

Yeh jeevan ki kahaani hai kashti ki zubaani.

Missed you all dear friends.

Love ASHA


Untitled

kasoor

saba ka yu jhom kar aana aur machal-machal jana……………..

ju khumaar me kisi ke kadmo ka behak-behak jana…………….

dekh us ko gul ka muskurana…………

aur guncho ka khil-khilana…………….

shab-nam ka bichh-bichh jana…….

dara-khato ka jhuk -jhuk jana……….

ye teri mulakaat ka hi to asar hai………

ye diwangi jo tum se hai………..

ye madhoshi jo tum se hai…….

ye teri soh-batt ka hi to asar hai……..

jab saba is-kadar diwani hai……

gulshan es kadar rumani hai……

to mera kasoor kya hai?

asha


Untitled

TERE DAR PAR……………

      SUKOON MUJH KO MILA HAI  ”HUJOOR” AA KA TERE DAR PAR!!!!

    ”ASHk” THAM HI NAHI RAHE HAIN

AA KAR TERE DAR PAR!!!!

    EK ”PYAAS” THI   ”DIDAAR” KI

 BUJH GAYI HAI ………………………………..   AA KAR TERE DAR PAR!!!!!!

JAAYREEN BHI HAIRAAN YE……….

  ‘YE ”’ISHq” KI ”INTEHAAN ”HAI…….

 

LABON PE TERA ”NAAM” HAI!!!

   NA  MAIN ”HINDU” HOON !!!!

   NA  MUSALMAAN HOON!!!

   BAS EK ”INSAAN” HOON!!!

 AA KAR TERE ”DAR” PAR!!!

 EK JUNOON HAI TUJHE PAANE KA……

 ISHq MEIN ”FANNA” HOON………………..

 TERE DAR PAR!!!!!!!

 Ramzaan ke mubarak mahine mein Khuda sabki muraad poori kare!

ASHA

 


Untitled

KISI      ROZ

 

jab hum na honge kareeb……….

tab yaad karoge   hum ko   kisi roz!!

 

 barse -gi aankhein is kadar……….

ki haath namm honge kisi roz!

 

yaad aayeinge wo pal ……..

jo hum ne sath -sath  guzare they…..

aur tadhpaein -ge…..tumhe…..kisi roz!!

 

 

tum milna bhi chaho………..

to na mil paoo —ge…………..

hum is kadar door chale jayeinge….kisi roz!

 

tab socho-ge…………kya khoya -kya paya tumne…….

aur hath malte reh  jaoo-ge kisi roz!!!!!!!!!!!!!

 

asha

 


Untitled

neta ji aaye hain………..

 

hui nagar mein saaj-safaai…………..

rangat nai-nai hai………….

tooti-footi sadak sawar gai……….

surat ”bani-thani” hai………………..

jagah-jagah ho rahi talashiiiiiii  :)

chaukas police lagi hai…………………

 

kyu ki neta ji aaye hain……………..

 

jute hain ”afsar”  aav-bhagat mein………

bhau-ve  tani hui hain………..

ho jaye na galti hum se

”posting” nai-nai hai….:)))

 

kyu ki neta ji aaye hain………..

 

janta ke hain neta ji.:)))))………..janta ke beech hi aaye hain………….

 

. bade-bade ”vado” se ”janta ”ko bharmayein hain……………..

bade-bade vado mein unke …..janta fansi hui hai…………………

 

neta ji ke ”bhagya” badal gaye……kismat chamak gai hai………….

jahaan thee janta pehle…….ab-bhi khadi hui hai……

……..ab bhi khadi hui hai……..

 

 asha

 

 

 

 


Untitled

Anjaam

jee ka jiyaan{haani} ho gaya ……….

is kadar un ki dosti mein……………

aye dil……..ab to tu sulag kar dhoowa ho jaayga……………

rahega na nomo-o -nishaan tera……….

ab in aati -jati sanso ko bhi tujh par gumaa ho jaayga……………….

jee ka jiyaan ho gaya un ki dosti mein……….

aye dil…. ab to tu sulag kar dhoowa ho jaayga…………………

kya thaa aagaaj tera ……aur kya hua hai anjaam tera…….

lagta na thaa ki tu is kadar fana ho jayga……………….

dil jala jo is kadar to kya hua??????????

ishq ka to yahi anjaam hona thaa………….

gar duaoo’n mein asar hoga tere to……….

wo khuda bhi tujh par meharbaan ho jaayga……

jee ka jiyaan ho gaya ………

is kadar unki dosti mein…………

asha


Untitled

Tum yahin ho………. yahi kahi ho!!!!!!!

saba ne yu haule-haule se aa kar chhuwa mujh ko…..

jyu tumhari nazro ne chhuwa ho……..chupke se……….

ek mithee chhu-aan………….

ek sapnila sparsh…………….

ek khubsurat ehsaas…………

ooh…ye bheeni-bheeni mehak……….

jo madhosh kar de mujh ko………

diwana bana de mujh ko…….

tum yahin ho………….

yahin kahi ho!!!!!!!!!!

ye gumchhe jo mujh ko dekh kar khil uthe………

ye chand jo mujh ko dekh kar jall gaya…………..

ye aasmaa jo mujh ko dekh kar baras gaya…….

ye kya hai………….?????

tum yahin ho…………

yahi kahi ho………..

asha


Untitled

Waqt tham saa gaya hai.

Manzar hai kuchh badala-badala aur hum bhi hain kuchh badle-badle .

Ki waqt tham saa gaya hai

Dil mein hain hazaar baatein, par lab hain

Ki sile huye.

Nazarein karti hain hazaar sawaal ..

Ki waqt tham saa gaya hai.

Kuchh behke-behke se hain hum aur kuchh behka hua hai mausam.

Kabu mein nahi jazbaat ..

Ki waqt tham saa gaya hai.

Tanhaai ka hai aalam, chhaya hai khumaar hi khumaar.

Naa khatm ho yeh raat ..

Ki waqt tham saa gaya hai.

ASHA