Achanak ek mod par
main us se takda gaya
Ek bhula huya sapna
jaise yaad aa gaya.
Uski baaten karne ki
wo chanchal adaa,
Kesh lahrane ki
uski balkhati fiza.
Ungli danton mein
hamesha dabaye huye,
Chup chup nazar
churane ki uski nazuk adaa.
So so bijliyan jaise badan
par giren,
Uski kasame khalane ki kamsin adaa
Kaise bhul sakta hoon
main wo chandani raaten
Jab usne ki thi do
pyar ki baaten.
Senkdo jugnuyon ki
chamak chandani
Uski madhosh nazron ki wo ragni.
Wo manzar aaj mujh ko
nazar aa gaya
Achanak aaj main us se
takda gaya,
Ek bhula huya sapna mujhe yaad
aa gaya