Mujhe dard to bohot hua tere jaane se,
Par sochta hun ,kyun ho gaya ye anjaane se,
Na jaane aaj phir se aankhen kyun num si hai,
Ye shaam aur tanhai hai kuch jaane pehchane se.
Tum agar ek baar humse milne ke liye aate,
Kuch tumhari sunte aur kuch apni tumhe sunaate,
Par ye aankhen tarasti rahi tumhare intezaar me,
Kaash tum bas ek baar to jaane ke liye aate.
Hai tumhari hi tasveer chupaye dil me,
Saath hai tanhayi aur ghum ki ye barsaate,
Kaash tum hote saath mere zindagi ke safar me,
To saath hoti khushiya,ye dard bhi dur ho jaate..
Ae dil-e-nadaan mere,
Bayaan kar, teri razaa kya hai ?
Ab kyon khud ko kosta hai itna,
Jab ki lut gaya hai tera jahan ?
Mohabbat toh farishto ko bhi na hui haasil.
Tu toh khair phir bhi mamuli hai.
Kya huaa gar mitt gaya kisi ke liye ?……
Ae dil-e-nadaan mere,
Bayaan kar, aakhir teri aukaat kya hai ?
Tujhe humne laakh samjhaaya,
Teri har mumkin pyaas ko bujhaaya.
Par tune hamesha ruswa kiya humein.
Ishq ka samandar jaana humne tujhe,
Phir bhi tu har baar pyaasa hi laut aaya…….
Ae dil-e-nadaan mere,
Bayaan kar, tujhe haasil huaa kya hai ?
Bheed me bhi tanha paaya tujhe.
Ishq shaayad raas na aaya tujhe.
Rangeen mehfil me bhi maayus kyon rehta hai ?
Kabhi aaine se ho kar ru-ba-ru,
Khud ko tatol aur puch tu ……
Ae dil-e-nadaan mere,
Bayaan kar, ye tanhai aakhir cheez kya hai ?
Khud par kaabu nahi rakh paata gustaakh,
Toh isme kisi aur ka kya gunaah ?
Ilzaam na lagaa, ki aagaah kiya tha pehle bhi humne tujhe.
Tarasta hai kiske liye ?
Tadapta hai kiske liye ?……..
Ae dil-e-nadaan mere,
Bayaan kar, teri justaju kya hai ?
Haq nahi tujhe ki tu kisise pyaar kare.
Dilaasa na de,
Koi aakhir kyon tujhpe aitbaar kare ?
Tere jazbaato se yahan sirf khelenge log.
Idhar mohabbat nahi, khudgarzi milegi tujhe.
Nahi samjhega koi nek iraado ko tere…….
Ae dil-e-nadaan mere,
Bayaan kar, tera jazba kya hai ?
Mohabbat kabhi kitni paak huaa karti thi.
Aaj shaayad uski surat hi badal gayi.
Yahan roz dilon ke saude hote hai.
Ye duniya ab teri meri rahi nahi.
Ummeed na kar, aa chalen aur kahi………
Ae dil-e-nadaan mere,
Bayaan kar, teri manzil kya hai ?
Waqt se waqt ki kya shikayat kare
Waqt hi na raha waqt ki baat hai
Usne dekha mujhe usne chaaha mujhe
Usne thukra diya waqt ki baat hai
Koi mushkil padi koi kaam aa gaya
Zehan mein uske jo mera naam aa gaya
Baad muddat ke woh doston ki tarrah
Humse hass ke mila waqt ki baat hai
Zindagi humse anjaan to ho gayi
Ek rishte ki pehchaan to ho gayi
Koi chaahat na thi bas dillagi thi
Woh khudko samjha liya waqt ki baat hai
Apni rang-e-muhabbat hai sabse juda
Koi puche to ab koi jawaab nahi
Jisko payaa nahi ussko kho ker bhi
Main
kyon ussi ka raha waqt ki baat hai
Meri hazaaro kosisho ke bawajood,
Tujhe mai apne dil se bhula na saka,
Kayi raaste badal badal kar chalta raha,
Par tere nishaan ko mai raahon se mita na saka,
Mere din guzre teri yaad me aur raate intezaar me,
Tu hai dur mujhse ye baat dil ko samjha na saka,
Meri dhadkane hai beqarar ab bhi teri khaatir,
Kisi aur ko mai iss dil me basa na saka,
Tere aane se aayi thi zindagi mujhse milne,
Tere baad mai zindagi ko wapas bula na saka,
Ek tujhe hi sunayi thi vo dastaan apne kal ki,
Kisi aur ko mai apna dard phir suna na saka,
Tujhse milkar hui thi iss dil ko chaahat teri,
Tujhe paane ki dua karke phir haath utha na saka,
Tujhme dekhi aur paayi thi har khushi apni,
Teri rukhsat ke baad phir in honthon ko hila na saka,
Muddaton baad paaya tha thujhe aur ek lamhe me kho diya,
Iss baat ko mai aur mera zehen apna na saka,
Saath tere har khwaab tuta har aarzoo mit gayi,
Tere intezaar me inn aankho ko mai rula na saka,
Jaane kya tha likha taqdeer me aur kya tha muqaddar mera,
Bas dil pe tera naam likhne ke baad phir vo kalam utha na saka,
Khair jo bhi ho ye to uss khuda ka khela hua khel tha,
Magar taa-umr mai tujhe paane ki TAMANNA ko dil se mita na saka
Yunhi besabab tha mera likhna kabhi,
Koi hai ab jo is dil ki kitaab me rehta hai,
Yunhi bemayane the mere lafz yahan,
Koi hai ab jo mere har alfaaz me sajta hai,
Yunhi anjaan tha mai zamaane ki bheed me,
Koi hai ab jis-se mera ek rishta purana hai,
Yunhi tarasti rahi har pal ye aankhe kisike liye,
Koi hai ab jo meri inn num aankho me basta hai,
Yunhi chale the kadam ek manzil ki talaash me,
Koi hai ab jo mera rehnuma bankar saath chalta hai,
Yunhi tadapte rahe har lamha kisike intezaar me,
Koi hai ab jo roz khwaabo me mujhse milta hai,
Yunhi dekhe hai bezaar mausam in aankho ne,
Koi hai ab jo gulshan ki tarah dil ke aangan me khilta hai,
Yunhi baate hui ek raat mere aks aur mere beech,
Inhi adhure khayaalo se ab ye dil behelta hai .
Jishe apni aankho me basaya tha maine,
Na jaane kab mere aansuo ke saath beh gaya
Jo meri tanhai me raha karta tha pehle,
Na jaane kab hawa bankar guzar gaya
Jise sajakar rakha tha maine dil me,
Na jaane kaise vo tutkar bikhar gaya
Chale the jin raaho par saath milakar har kadam,
Na jaane kab vo apni raahen badal gaya
Banaya tha jisne mohabbat ka aashiyaana kabhi,
Na jaane vo mahal kaise jal gaya
Yun to dard pehle se hi tha zindagi ke saath,
Iss baar ka tutna dekhkar vo aasmaan bhi pighal gaya..
Recent Comments