Archive

Archive for April, 2010

Zindagi ke sawaal….????

April 3rd, 2010

http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/5E636B61725B752F333632/sfwwkfv31c4f3s0x.D.0.man_writing_notes_by_ocean-other.jpg



Kuch sawal hai aise jinka koi jawaab nahi…

Kaash har sawaal ka jawaab hota to kya hota?

Agar insaan ke paas do dil hote to kya hota?

Agar do dil hote aur usme pyaar na hota to kya hota?

Agar mohabbat na hokar har suu sirf nafrat hoti to kya
hota?

Iss jahaan me har mohabbat agar kamiyaab hoti to kya hota?

Iss zindagi me agar kabhi judaai na hoti to kya hota?

Jiski chaahat hai agra vo thaam leta haath to kya hota?

Zindagi me agar kabhi koi gham na hota to kya hota?

Chaaro taraf agar khushiya hi bikharti to kya hota?

Ye zamana agar mohabbat ki dushman na hoti to kya hota?

In patthar dilon me dard sehne ki taqat na hoti to kya
hota?

Har kisiko apni manzil ka pata hota to kya hota?

Agar manzil tak pahunchne ka koi rasta na hota to kya
hota?

Inn aankhon me koi khwaab na basta to kya hota?

Agar har khwaab taabeer ho jata to kya hota?

Agar kaali raat ke saath chaand na hota to kya hota?

Agar har savere ke saath suraj na hota to kya hota?

Maangne se mil jaati dil ki har dua to kya hota?

Zindagi ki har Tamanna agar puri ho jaati to kya hota?

 

 

Inn sawaalo ko agar tarteeb dekar sawaanra jaata to kya
hota?

Agar mil jaat har sawaal ka jawaab to to vo kya hota?

 

 

The puzzle which everybody tried and still trying to solve
it.

A game which is played but none of us knows who’ll be the
winner and who’ll be the looser, Coz when we win something even we loose
something,

And I think that’s life………..

Uski Baatein….!!!

April 3rd, 2010

http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/5E636B61725B752F333632/lw9l5bl3g9e1d8hi.D.0.j0430627-main_Full.jpg

Har dukh mera baanta,bas gham apna sunana bhul gaye.

Farz to usne khoob nibhaya,bas haq jatana bhul gaye.

Sabke zakhmo ka marham ban-na mujhe usine sikhaya,

Bas khudke zakhm kaise seenchu ,mujhe ye sikhana bhul gaye.

Zindagi se aashna karke mujhse kaha ye teri nahi,

Manzil dikhakar meri mujhe uss tak pahunchne ka raasta dikhana
bhul gaye,

Kaha ke apne aansu chupa kar rakhna,ke sab kamzor samjhenge
tujhe,

Par khud apni bheegi palkhen humse chupana bhul gaye.

Vo ek pal tha jisme unki aankhon ne haal-e-dil suna diya.

Sunkar vo dard unki aankhon se apni nazar hatana bhul gaye.