
Mera iss say pehla post Ashwariya rai kee sunderta ko samarpit tha. Shayad pasand na aaya ho app sabh ko. Dosto, Beauty, Khobsorti, Sunderta, kudrat nay humarey Charon taraf bikhra rakhi hay. Allah nay ankhein dee hein humein sunderta ko niharney ko. Hum dekh kur bhee uskee badaee na karein tou kuch nazayaz see baat hogi. Sunderta apney aap mein haq rakhti hay apni tareef karwaney ki.
Ek kissa hay jo mainey suna tha, aap say bhee share karna chahta hoon. Umeed hay aap isay usee drishtikone say sunaygay, samjheingay, jis drishtikone say yeh meri samajh mein aaya.
Ek Fauquier ek residential complex say gujar raha tha aur Charon aur nazarein ghuma raha tha. Fataey hovay kappdey, betarteeb lambey Baal, hath mayn ek taswee ( mala) aur kandhey pur ek jhola, kuch is tarah ka huliya tha uska. Lekin ankhon mein chamak thee aur chehrey pur khusi thee. Jahan bhee koe sunder chehra dikhta khada ho jata aur niharney lagta.
Logo nay dekha to kaha "Baba kuch ibadat bhee karta hay? ya youn hi sunder chehray niharta rehta hay?" Tou baba nay kaha "yeh jo sunder cheray walay hein na yeh meri taswee (mala) kay daney hein, nigah mein firtay rehtay hein aur ibadat hoti rehti hay"
Baba kuch agey gaya ,daekhta kya hay, ek sunder aurat balcony mein khadee apnay baal sukha rahee hay,baba nay kaha wah ray malik kya sunder murat banaee hay..kahan pay beth kay aisee murtaein banata hay. Aurat nay dekha Fauquier us ko nihar raha hay aur mazak udda raha hay. ussay bada bura laga. Usnay apnay malik ko awaz dee aur kaha "o meray malik, woh dekho woh Fauquier mera mazak udda raha hay. Us aurat kay malik nay Fauquier ko dekha, bahut gussay mein woh nichay aaya aur Fauquier ko char panch jootay laga deay. Bheed jamma ho gayee. Fauquier fir hasa aur bola hay malik kya yah bhee teri bheji hue murat thee,Mera kya hay jaana,dhakey padeingay teray naam ko, heheeeee,, kya kamal hay moorat say moorat nahee miltee..
Us aurat ka malik seediyan chad kay wapis ja raha tha, panv fisla aur woh seediyon say nichay gira aur mur gaya. Aurat nay shor mucha diya "logo dekho is Fauquier nay mera malik maar diya hay." Logo nay Fauquier ko pakkad liya aur poocha 'Baba is aurat kay malik ko tunay mara hay" to baba nay kaha naheen mein kaun hota hoon marney wala,yeh tou malikon malikon ka jhagda hova hay.
Is aurat ka malik hay tou mera bhee tou koe malik hay ..is aurat kay malik nay mujhey jootay say maara tou meray malik ko bhee gussa aa gaya tou usnay jhagda hi mukka diya .sauda ek jaisa ho gaya…..
Sauda ekoh jiha,,dil lena tay dil mungna tay sauda ekoh jaya..way sonay deya kangna tay sauda ekoh jaya..dil