Na jaane kitni baar woh Ishwar khud ko prove karta hai
Phir bhi mera mann nahin bharta hai
Zara si mushkil aati hai
To kehti hun kahan hai tu dikha mujhe
Aisa nahin lagta ki mera kuch khayal hai tujhe
Bhool jaati hun ki har baar meri kashti ko wohi paar lagata hai
Mujh jaise aalsi insaan ko roz subha wohi to neend se jagata hai
Aur kehta hai ki chal aaj phir ek koshish kar
Main har baar shayad sirf 1% koshish karti hun ,
Aur who mujhe 100% result deta hai
Phir bhi jab bhi mushkil aati hai to
Main phir ek baar phir uske astitva par question mark lagati hun
Aur kehti hun ki ab fir prove kar ki teri list mein main bhi aati hoon
0 Responses
Stay in touch with the conversation, subscribe to the RSS feed for comments on this post.