Kuch ankahi baaton se
Bayaan kar jaate hai
Kuch dil se nagme pyaar ke gun gunate hain
Kya kahe kora kaagaz kabhi
Dard toh usme bhi hota hain
Izhaar naa kare kabhi
Ki jalna usko bhi hota hai
Kahi nahi kabhi kisise dastaan apni
Ki doosron ke zazbaat hi woh kehta hai
Kitna komal hai
Kitna maasum hai
Sab ke sapno ko aakar deta hain
Lafzon ko uska aadhikar deta hai
Sunta hain sabhi ki kahani hamesha
Apna kissa kabhi naa kisi se kehta hain
Log kehte hain ki,
Maa se badkar nahi kuch is duniya mein
Kyunki khamoshi ka izhaar, kabhi kisi ne kaha dekha hai
Ki kore kaagaz si hai kahani aapki
Jiye hamesha dusron ke liye
Zaahir yeh kabhi naa kiya aapne
Aapke armaano ko pankh main aaj lagaunga,
Kore kaagaz ki kahani aaj sunaunga
Mere Papa the Great
Bahut khoob Lav…God Bless You… Tumhari is kavita ne meri aankhon ko nam kardiya… mere dil ko tumhari har ek sabdon ne choo liya….
bahoot khoob kaha hai aapne. bahoot khoob ……… bahoot khoob
Nice one
nice tribute
read my latest psot
gud one