Palkon ke chilman ne dekha
Jazbaton ka ik shikhar naya
Chand lamhon mein sajaya hua
Woh sapna thaa, so bikhar
Asmanjhas ki lehron mein khoye
Anjaan hum aur ghumsum dil
Kis aandhi ne duboya humko
Kyun door hua hum se sahil
Sadiyan nahi, Ik pal mein badle
Ahsaason per kya dhool jamii
Rukhsaar khilaa rahta tha pehle
Ab aankhon mein bus gayi namii.
- Khushi
umar bhar yeh ahsas hota hai shayad sabhi ko ,isi ka naam zindagi hai,badlta rehta hai mausam ,wase hi sab badal jate hain .Sirf ek ehsas hi rehta hai apna,bas uske sahare chalte raho.
is shab-nam ko na yoon nam karne do palkein, ik baar umad kar barasne do ; baras jaaye jab kaali ghataa, phir chamkega satrangi aasmaan!! bahut khoob …. baad muddat ke , teri zameen pe aaj roshanaayi hai, albatta gamgeen si parchhaayi hai !