Pyaar karta hun par bataa nahi sakta
Haq rakhta hun par jataa nahi sakta
Aaina bhi dekhun to nazar aati ho tum
Khayalon se tumko hataa nahi sakta
Mere khwabon ki taabeer, tumeh saraah nahi sakta
Mere dil ki jaageer, tumeh paa nahi sakta
Khudah se badhkar hai kuch azeezon ki marzi
chaah kar bhi khilaaf main jaa nahi sakta
Hadd se zyada hai tumse mohabbat, phir bhi
Tumhare iss dil mein, tumeh basaa nahi sakta !!
– Khushi
kya khoob…..tumhare hi dil mein, tumhe basaa nahi sakta….?! aakhir kyon is mukaam par laakar bebas kar deti hai zindagi….? why, o why does it have to come to this…?