Archive for category jiina
Mar kar bhi jii
Jeene ko sabhi jee lete hain zamane mein
Dil ke zakhmon ko hum bhi si lete hain zamane mein
Bewafai ka sila hai, yun hi bedard zamane mein
Deti raho awaaz pyar se, humein zamane mein
Ye ashq nahin, tumhare pyar ki yaadein hain
Pyar mein beete huye palon ki yaadein hain
Dil se nikalti hai, jo aah teri yaad mein
aankhon mein aakar, ashq ban jati hai teri yaad mein
In ashqon ko aankhon mein hi rahene do mere sanam
Tumhari yadon ko meri aankhon mein rahene do mere sanam
Tumhari itni khatayen sahi, ek khata aur sahi,
mujhe pyar se apna kar ek aur khata kar lo sanam,
Zaher bhi mile to zaher pi lete hain hum
Tere pyar mein mar kar bhi jee lete hain hum…!!
Recent Comments