Posts Tagged Add new tag

Main aur meri tanhai


Rehte hain saath saath main aur meri tanhai


Kartey hain raaz ki baat main aur meri tanhai


Din to guzar hi jata hai logon ki bheed me


Kartey hain basar raat main aur meri tanhai


Saanson ka kya bharosa kab chhod jaaye saath


Lekin rahenge saath main aur meri tanhai


Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum


Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai


Aa ke paas kyon door ho gaye hum se


Kartey hain teri talash main aur meri tanhai


Tum ko rakhenge saath zeenat bana ke ghar ki


Reh jaayein phir na tanha main aur meri tanhai…………………………..

1 Comment