Skip to content


जिन्दगी…………..

मैं दो कदम चलता और एक पल को रुकता मगर ..
इस एक पल जिन्दगी मुझसे चार कदम आगे बढ जाती
मैं फिर दो कदम चलता और एक पल को रुकता और .
जिन्दगी फिर मुझसे चार कदम आगे बढ जाती
युँ ही जिन्दगी को जीतता देख मैं मुस्कुराता और .
जिन्दगी मेरी मुस्कुराहट पर हैंरान होती
ये सिलसिला यहीं चलता रहता ..

फिर एक दिन मुझे हंसता देख एक सितारे ने पुछा .
" तुम हार कर भी मुस्कुराते हो ! क्या तुम्हें दुख नहीं होता हार का ? "
तब मैंनें कहा .
मुझे पता हैं एक ऐसी सरहद आयेगी जहाँ से आगे
जिन्दगी चार कदम तो क्या एक कदम भी आगे ना बढ पायेगी,
तब जिन्दगी मेरा इन्तज़ार करेगी और मैं
तब भी युँ ही चलता रुकता अपनी रफ्तार से अपनी धुन मैं वहाँ पहुँगा .
एक पल रुक कर, जिन्दगी को देख कर मुस्कुराउगा .
बीते सफर को एक नज़र देख अपने कदम फिर बढाँउगा।
ठीक उसी पल मैं जिन्दगी से जीत जाउगा
मैं अपनी हार पर भी मुस्कुराता था और अपनी जीत पर भी
मगर जिन्दगी अपनी जीत पर भी ना मुस्कुरा पाई थी और अपनी हार पर भी ना रो पायेगी

(BY..UNKNOWN WRITER…)

Posted in Life....

13 comments



Roses and Thorns

A certain man planted a rose and watered it faithfully, and before it blossomed, he examined it. He saw the bud that would soon blossom and also the thorns. And he thought, How can any beautiful flower come from a plant burdened with so many sharp thorns Saddened by this thought, he neglected to water the rose, and before it was ready to bloom, it died.

So it is with many people. Within every soul there is a rose. The God-like qualities planted in us at birth grow amid the thorns of our faults. Many of us look at ourselves and see only the thorns, the defects. We despair, thinking that nothing good can possibly come from us. We neglect to water the good within us, and eventually it dies. We never realize our potential.

Some people do not see the rose within themselves; someone else must show it to them.

One of the greatest gifts a person can possess is to be able to reach past the thorns and find the rose within others. This is the characteristic of love, to look at a person, and knowing his faults, recognize the nobility in his soul, and help him realize that he can overcome his faults. If we show him the rose, he will conquer the thorns.

Our duty in this world is to help others by showing them their roses and not their thorns. Only then can we achieve the love we should feel for each other; only then can we bloom in our own garden
–by Unknown writer..

Posted in Life....

9 comments



Hello freinds..

Firstly V sorry freinds, I was not able to reply to ur comments.Sorry

Ajj bahut dino ke baad iland pe aaya huin..

I am not getting any words to post now.
.

Posted in Friends.

5 comments



……………….

~~~~~~~~~XX~~~~~~~~~~

Posted in Life....

12 comments



…………………

Tumhe ab bhool hi jaye to acha hai
yeh fasle aur bhi badh jaye to acha hai
tumhari chahatain humko nahin hasil
To ab ghair hi ban jayin to acha hai

Hamari to umar guzri hai teri chahat mein
Tu is Aag mein na jale to acha hai
Barsoon se thi dua k tu mere sath ho
Kehta hon k ab samne na aye to acha hai

Rehta tha teri muhabbat ka saya hamare sath
Ab to apni parchai bhi sath na aye to acha hai

Posted in close to heart.

10 comments



zindagi se koi gumm nahi…..

Waise toh humein jindagi se koi gumm nahi
Tanha hai hum magar ye
Tanhai hai humse, hum tanhai se nahi.

raahein katheen hai magar
safar namumkin toh nhi
manzil nigaahon me basi lekin
maalum dagar hi nahi.

Sansani hai faili par
Koi tufaan bhi nahi
Ekk aahat thi unki
Hui koi dastak bhi nhi

ladkharaatein kadamon se chalte
dekha maine jo palat kar
ye yaadein thi unki
lagaa-kahi woh aaye toh nahi.

Nahi woh aaye toh nahi,
Magar woh gaye bhi nahi
Iss dil-e-dariya se maine
Woh sulagte aahsaas mitaaye bhi nahi.

saanse chahti thi rukna magar
wai yu ruk payi bhi nahi
kii inn dhadkano me who rahti
unhe beghar yu kar payi hi nahi

berukhee hai koun jajba
yaha koi ruswai hi nahi
ye toh the iss dil ke ishaarein
warna, who toh yaha kabhi aaye hi nahi

palkein unko nihaar payi hi nahi
shabnam kabhi aansu barsai hi nahi
nazarein unse kabhi mil payi hi nahi
baahein unka aagosh kabhi chahi hi nahi

kii ye toh tha ekk hansin khwab mera
jisse kabhi jindagi bann payi hi nahi
jivan sach hai aur
khwab sacchai toh nahi

maana mein bikhari khwahisho ki sez
par yaha beraham bewafai toh nahi
shayad tabhi mujhe jindagi se koi gum nahi

tanha hu mein magar
tanhai hai mujhse,
mein tanhai se nahi.

Posted in Love.

8 comments



Sehar ki ye daud……

Sehar ki iss Daud mein karna kya hai
Agar yahi jeena hai dosto, to marna kya hai

Pehli Barish mein train late hone ki fikra hai
Bhool gaye bheegte hue tehelna kya hai


Serial ke kirdar ka sara haal hai maloom
par maa ka haal poochne ki fursat kaha hai

aap rait pe nange paav tehlte kyon nahi
108 hai channel par dil behalate kyon nahi

Internet pe duniya se to touch mein hai
lekin padosh mein kaun rehta hai jante tak nahi

mobile landline sab ki bharmaar hai
lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai

kab doobte hue suraj ko dekha tha yaad hai
kab jana tha shaam ka gujarana kya hai

To dosto
Sehar ki iss Daud mein karna kya hai
Agar yahi jeena hai dosto, to marna kya hai..

Posted in Life....

10 comments



zindagi…………….

Kehte ho gazal likhu sochta hoon ke kya likhu
Haal likhu, Dard likhu, ashq likhu ke ishq likhu


Kehte ho
pyaas likhu sochta hu ke kya likhu
Sagar likhu ,junoon likhu, mehboob likhu ke jaam likhu


Kehte ho
dosti likhu sochta hu ke kya likhu
Khudai likhu,aitbar likhu ,jaan likhu ke tera naam likhu


Kehte ho
ehsaas likhu sochta hoon ke kya likhu
Roshni likhu, Kaynaat likhu ,raat likhu ke ye barsaat likhu


Kehte ho zindagi likhu sochta hoon ke kya likhu
Gazal likhu, pyaas likhu, dosti likhu ke eshsaas likhu

Posted in Life....

5 comments



.For a change….

Dekha tujhe to rooh khush ho gayi,
Ek kami thi vo bhi puri ho gayi,
Pagal hain vo log jo kehte hain ki,
Chimpanzi ki aakhri nasal kahin kho gayi!!
~~~~~~~~~~~~~

Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai
Bandar jab koi aas-paas hota hai..
““““““““““““““
Durakht ke paymane pe chilman E husn ka furkat se sharmana…
Durakht ke paymane pe chilman E husn ka furkat se sharmana…
Ye line samajh me aaye to mujhe zaroor batana
!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
and one more…

Kaghaz Har Taraf Sajjaya Karte Hai,
Tanhai Main Shaher Basaya Karte Hai,
Kaise Paagal Shaks Hai Hum
Deewaroon Ko Dard Sunaya Karte Hai,
Ro Dete Hai Khud Hi Apni Baatoon Par,
Aur Phir Khud Ko Hansaaya Karte Hai…
………………..



Posted in Friends.

9 comments



…………moon,,,

As I gazed up at the moon it dawned on me,
although it was surrounded by the stars it seemed all alone
made me think,
sometimes we might be overwhelmed with friends
but still feel on our own
but look how the moon
gives off a magical glow

in the darkness of the night
feels like it’s caressing you
all over like a warm blanket,
if you listen you can hear
it whisper it’s alright
so next time you feel all alone
and you think you are going to cry
just look up at the moon way up in the sky …

!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Chaahne se koi chiz apni nahi hoti, har muskurahat khushi nahi hoti, kehana toh chahte hai bahut kuch, magar kabhi waqt toh kabhi jubaan saath nahi hoti

Posted in few words...

8 comments