Hasratein puri karne ka maza kuch aur hai
Teri baahon mein marne ka maza kuch aur hai
Peekar to madhosh sab hote hain aksar
Teri aankhon se peene ka maza kuch aur hai
Manjil to paa leta yun to akela main bhi
Par tere sath hone ka maza kuch aur hai
Hanste to sab hain mehfilon mein humdum
Par rotey huye muskuraane ka maza kuch aur hai
Har aarju dil ki aaj ufaan par hai yun to
Par kuch baatein chhupaane ka maza kuch aur hai
Jo likh kar tu hamesha bhool jata hai
Kabhi kabhi wo ghazal gun-gunaane ka maza kuch aur hai
Friends' Update
-
Loading ...Please wait..
0 Responses
Stay in touch with the conversation, subscribe to the RSS feed for comments on this post.