dau baba ke dar par jo aaye ek baar
bhar bhar jholi khushiyan paye ho jaye bhav se paar.
dau baba ke dar par………
dev dayalu bada kripalu sabke man ki janey
man ki poori karey muradein bhar de sabhi khajaney
dau baba ke charnon main khushiyan miley apaar
dau baba ke dar par…..
har mavas pooranmasi ko bhakt hajaron aatey
kar snan khirsagar main tan ka rog mitatey
jiskey na santan hoye wo aaye baba dwar
dau baba ke dar par……
maakhan mishri bhar handey main bhog lagey baba ka
shradha aur vishwas bhav se bhramar dwar pai aaja
anhoni tal jaye tumhari jo bolo jai jai kaar
dau baba ke dar par jo aaye ek baar
bhar bhar jholi khushiyan paye ho jaye bhav se paar.
prem se boliye sri dauji maharaj ki jai
mahesh ‘bhramar’
27.8.2009
(tarj–ganga tera paani amrit jhar jhar bahta jaye)
jai ho,,uskee leela aprampaar hai….bahut sunderta say apnay gun gaan kiya hay uska.
Jay ho Dau baba ki…. Ye krishna ka swarup hai? Shreenathji jaesa lagata hai. Jay Shreenathji..
jai ho dauji ki……………
sundar bhagati poorn rachna………………radhe shayam!
Hello, Dau Baba ki Jai… Murliwale Krishna ki Jai…, Bahut Sunder Bhavon men piroya gaya hai is Rachna ko… Badhaiyan