MAGAR KYA HO.???
Posted in Personal on 03/22/2009 06:02 pm by akhtar rizviZindigi kitni
khub surat hai,
sochta main bhi hun
magar kya ho..??
Uski aankhon me
pyar ka paigham,
dekhta main bhi hun
magar kya ho…??
Ab jiyunga to
sirf apne liye,
chahta main bhi hun
magar kya ho…??
Yeh bura waqt
beet jaye ga,
janta main bhi hun
magar kya ho…??
Apne behke huye
qadam ‘akhtar’,
rokta main bhi hun
magar kya ho…???
=akhtar rizvi