Yeh degree bhi lelo ye naukari bhi leloBhale Chheen lo mujh se USA ka VisaMagar mujh ko lauta do, wo college ka canteenWo teekha samosaa vo chaay ka pani
College ki sabse purani nishani
Wo chaaywala jise saare kehte the jaani
Wo jaani ke hathon ki ‘cutting’ chaay meethee
Wo chupke se journal mein bheji hui chitthi
Wo padhate hi chitthi uska bhadakna
Wo chehre ki laali vo aankhon ka gussaa…
Kadi dhoop mein apne ghar se nikalnaa
Wo project ki khatir shahar bhar bhataknaa
Wo lecture mein doston ki proxy lagaanaa
Wo sir ko chidhanaa, vo aeroplane udaanaa
Wo submission ki raton ko jagnaa jagaanaa
Wo orals ki kahani vo practical ka kissaa….
Bimaari ka detention ke time bahanaa
Wo doosron ke assignments ko apnaa banaanaa
Wo seminar ke din pairon ka chhatpatanaa
Wo workshop mein din raat pasinaa bahanaa
Wo exam ke din ka bechain maahaul
Par vo maa ka vishvas, papa ka Bharosaa…
College ki wo lambi si raatein
Wo doston se canteen me pyaari si baatein
Wo gathering ke din ka ladnaa Jhagadnaa
Wo ladkiyon ka yuhin hamesha akadnaa
Bhulaaye nahin bhool sakta hai koi
Wo college, Wo baten, wo shararatein, vo javani…
Wo kagaz ki kashti, Wo barish ka pani…
wow…wo cutting chay….maza aagaya,,,,,,,,,,pani aagaya muh me,
sach mein ..college ki yaadon ko bhulana behad mushkil hai …
Hmmmm sahi hai ……..