Skip to content


Pyari bahana

woh madham sa muskurana aur woh jhooth-mooth ka gussa dikahana..,
samajhna meri har baat ko aur mujhe har baat samjhana,..
woh ladna tera mujhse aur phir pyar jatana,…
bahut yaad aata hai “meri behna” tumhara mujhe “bhai” kehke bulana,

woh sham dhale karna baatein mujhse aur apni har baat mujhe batana..,
sunke meri bewakufiyaan tumahara zor se hans jaana…,
meri har galti pe lagana daant aur phir us daant ke baad mujhe pyar se samjhana…,
koi aur na hoga tumse pyara mujhe yeh aaj maine hai jaana,..

woh rakhi or bhiya dooj par tumahara teeka lagana ……,
kumkum me doobi ungli se mera matha sajana..,
khilana mujhe mithai pyar se aur dil se dua de jaana..,
bandh ke dhaga kalai pe meri pane pyar ko jatana..,

kabhi ban jaana maa meri aur kabhi dost ban jaana,
dena nashihatein mujhe aur hidayatein dohrana,
jab chhaye gham ka andhera to khushi ki kiran banke aana,
haan tumhi se to seekha hai maine gham me muskurana…

kehta hai man mera rehke door tumse mujhe ab ek lamha bhi nahi hai bitana..,
ab to bas “Amit” ko apni “Pari behna ” ke pass hai jaana,
hai bahut se ehsaas dil me hai samaye ab pata nahi inhe kaise hai samjhana,
bas jaan lo itna “pagal behna” bahut yaad aata hai tumhara “bhai” kehke bulana….!!!


Posted in Blogs.


4 Responses

Stay in touch with the conversation, subscribe to the RSS feed for comments on this post.

  1. Shahanawaj Nadaf says

    Hi!!!
    Nice…………
    Totally Agree with NISHI………….
    “lucky bahna who has a bro like u”

  2. nishi says

    lucky bahna who has a bro like u …
    may God bless both of u ..keep smiling n keep writing ..

  3. SARA says

    bahut hi sudar bhawo ki abhivakti…………..door jaane se rishte ki keemat bhi kuchh jayada hi bad jaati hai…….jaise india chhutne ke baad uski har ek baat ka yaad aana………….

  4. chandrakant parmar says

    nice written…………….