Usney kaha mujh se !
Main tum bin ji na paoungi
Main sach much toot jaoungi
Zamana chor doungi !
Khud se janan rooth jaoungi
Main ne kaha us sey !
Agar main mil gaya tumko
To is se farq kiya hoga ?
Mohobat main hamesha jo mila hai
Wo juda hoga !
Usney kaha mujh se!
Agar tum mil gaey mujhko
Main yeh duniya bhula doungi
Tumhare naam pe apna main ye jiwan bita doungi
Tumhari zindagi ka main her ek lamha saja doungi
Tumhara marte dum tuk sath doungi jan luta doungi
Maine kaha us se
Meri jan sach kahon tumse
Yeh wade, sapne, jhoote hain
Hamain tanha hi rehna hai
Saharey apne jhootay hain
Ager main mil gaya tumko
Mujhe tum chor jao gi
Mera dil keh raha hai tum !
Mera dil tor jao gi
Usney kaha mujh se !
Ager tum mil na paye to
Main aisa kar bhi sakti hon
Tumhare bin adhuri hon
Main janam mar bhi sakti hon
Main ne kaha us se !
Yeh janam sub hi karte hain
Safar main sub bicharte hain
Bichar kar log martey hain
Mujhe tum ji k dikhlao !!!!
Posted in Blogs.
By amit garg
– August 15, 2008
सारे जहाँ से अच्छा, हिन्दोस्तां हमारा,
हम बुलबुलें हैं इसकी, ये गुलसितां हमारा
गुरबत में हों अगर हम, रहता है दिल वतन में
समझो वहीँ हमें भी, दिल हैं जहाँ हमारा
परबत वो सबसे ऊँचा, हमसाया आसमां का
वो संतरी हमारा, वो पासबां हमारा
गोदी में खेलती हैं, इसकी हज़ारों नदियाँ
गुलशन है जिनके दम से, रश्क-ए-जनां हमारा
ए आब-रुद-ए, गंगा, वो दिन हैं याद तुझको
उतरा तेरे किनारे, जब कारवां हमारा
मज़हब नहीं सिखाता, आपस में बैर रखना
हिंदी है हम, वतन है हिन्दोस्तां हमारा
यूनान-ओ-मिस्र-ओ-रोमा, सब मिट गए जहां से
अब तक मगर है बाकी, नाम-ओ-निशां हमारा
कुछ बात है के हस्ती, मिटती नहीं हमारी
सदियों रहा है दुश्मन, दौर-ए-ज़मां हमारा
इकबाल कोई मेहरम, अपना नहीं जहां में
मालूम क्या किसी को, दर्द-ए-निहां हमारा
Posted in Blogs.
By amit garg
– August 11, 2008
Hiiii,
friends aaj mere ek dost (ya shayad dost se bhi badker) ne mujhse kaha ki aaj tumhe kuch likhna hai mere liye to bas mei kuch likhne ki koshish ker reha hu hope use pasand aayega…
Jane kyu kisi ajnabi se itna pyar hoo jata hai…
Ek anjana shaqsh hamari kashti main sawar hoo jata hai…
Lagne lagta hai sara jahan hasin,jab woh humara dildar ho jata hai…
Zindgi naye rang badalne lagti hai…
Shaame kisi ke intzar main dhalne lagti hai…
Dil kaa sukun tabah hoo jata hai…
Jab koi ishq main fanaah hoo jata hai…
Bas har jagah yahi manzar dikhai deta hai…
Har jagha humain apna dilbar dikhai deta hai…
Bewajha Muskurane ki adat si ho jati hai…
Kisi ko apna banane ki chahat si ho jati hai…
Apne yaar ki har baat khudai si lagne lagti hai…
Do pal ki doorie bhi judai si lagne lagti hai…
”’Bas kuch isi taraha paglo sa ho jata hoon…
Jab bhi main uski yaado main kho jata hoon…”’
Posted in Love.
By amit garg
– July 25, 2008
The path will itself come your way.
If you have the fire in your belly for your goal, the path will itself come your way.
Nobody told the rivers their path,
They burst out from the heart of the mountains
and they hit innumerous rocks on their way,
Roaring, they went on from one forest to another all alone,
In the end, they merged at the feet of the Sea.
Don’t worry about the thorns of your way,
Just keep on moving,
Your goal will smile at you
and you shall achieve it.
The path will itself come your way.
If you have the fire in your belly for your goal, the path will itself come your way.
Posted in Blogs.
By amit garg
– June 27, 2008
Kya Rishta Hai Tera Mujhsey…
Nahi Jaanta Mai…
Nahi Samajh Pata Mai…
Kyu Har Pal Dil Saath Chahta Hai Tera…
Nahi Jaanta Mai…
Har Pal Dard Milta Hai Yaado Say Teri…
Fir Bhi Kyu Tujhey Hee Yaad Karna Chahta Hai Ye Dil..
Nahi Jaanta Mai…
Raat Bhar Tujhey Sochkar,
Ashq Behte Hai Aankhon Say Meri,
Fir Bhi Kyu Tujhey Hi Sochna Chahta Hai Ye Dil…
Jaanta Hoon Tu Nahi Aayegi Mujhsey Milne Kabhi…
Fir Bhi Kyu Har Pal Meri Nazrein Dhoondti Hai Tujhey..
Nahi Jaanta Mai..
Kya Hai Mere Dil Mein Tere Liye..
Nahi Samajh Pata Main Kay…
Tere Bina Kuch Kyun Nahi Soch Pata Hoon Mai…
Yu Tau Apne Yaaro Ko Samajhata Firta Hoon Mai..
Magar Ab Khud Kya Karu..
Nahi Jaanta Mai…
Posted in Blogs.
By amit garg
– June 21, 2008
Every Time I Close My Eyes,
I see Some one Smiling,
Looking at Me With A Little Shy,
Making Me Feel Something For Her..
My Heart Beats went High,
Whenever She Looks at Me,
with That Sweet Innocent Smile
on Her Cute Face….
Every Time I close My Eyes
And see That Lovely Gal,
I want To Write,
Something For Her,
Something Through which I
Can Explain what I Feel For Her…
With This Thought,
One Day I Started To Write
Something For My SweetHeart,
Closed My Eyes,
Saw That Lovely Face
And Again Lost..
In Her Sweet Smile,
And This Time She was Looking,
More Pretty Than Ever,
More Beautiful, More Sweeter
Than Any Day Before..
She was Just Like An Angel,
Came Down To Meet Me,
I was not in Myself That Time
But Still was Writing Something
And when I opened My Eyes,
I saw That Angel,
And This was The First Time,
I Saw Her with Open Eyes,
And Then Realised That,
I was unable To Put Her
Divine Beauty In My Words,
And Draw Her Face
Instead Of Writing Few Words….
Posted in Blogs.
By amit garg
– June 21, 2008
Maan kyun mujhey tumne janm diya
Kuch bhi to jindagi mein hasil na kiya
Har pal ye duniya tarpati hai maa
Ghoot ghoot ke main roj marta hoon maa
bebasi ne mujhe hai tumse door kiya
is shahar ne sapno ko choor kiya
mere dil ke dard ko mahsoos na kiya
Tere god me fir sone ko man karta hi maa
Nahi chahiye ye udhar ki zindagi maa
Ye zindagi har pal rulati hai maa
Tum to ghar me ho door bari
Mere halat se anjaan kahin
Tera beta yahan chupchap hai bilakh raha
Apne anchal me mujhe sone do maa
mar gaya jo larte larte
har julmo sitam ko sahte sahte
tujhey to fir dookh doonga na
mujhey fir se bula lo na maa
Apne god me sula lo na maa
Har gaya hoon is duniya se
In rishton ke beech ki dooriyan se
apne hathon se kabhi to
mera ansoo pocho na maa
apne kaleje se mujhe chipka lo na maa
Ye jo mere ansoo hain
nahi chahta tujhey dikhana maa
Sochogi kaisa majboor hai tera laal
Khud hi sare dookh sahoonga maa
Kya karoon ki duniya bahut sangdil hai
rasta hai na koi meri manjil hai
zindagi ne kabhi hansi to diya naa
Tumhi to kuch kah do na maa
kya likhoon ki shabd nahi dete sath
akhon me hain ansoo bhara
ab ye dard nahi saha jata
har pal main maut ke paas aa raha
kash ki main bhi tere liye kuch kar pata maa
mujhey ab gahri neend me sone do na maa
meri ek iccha puri kar do na maa
mar jaoon to tum mat rona maa
apne anchal ko mera kafan bana dena maa
Posted in Blogs.
By amit garg
– June 11, 2008
Na de paaya khusiya, toh kya gum hai,
Jee bhar ke mila dard, vo kya kam hai.
Meri vafa ke badley chaahe de dena mujhe pyar ki parchai,
Par E khuda, na dena mujhe ashkon mein bhigi TANHHAI
Bada keemti hai ye aankh ka paani,
Isey khuda ne sirf dukho ke liye chunaa hai,
Isey yuhi kisi ki yaad mein jaaya nahi karte,
ye sab humne kehte suna hai.
Koi humse pooch kar toh dekhe,
ki ashkon ke kitne saagar humne bahaaye hai.
Saari umar inhi ko peeya hai,
aur inhi se toh nahaye hai.
Un andhero mein jab na koi kareeb tha mere,
Isi tanhaai ne toh nibhaya tha mere saath.
Par kya ek pal ko bhi toone socha E Khuda,
Tere usi tanhaai ki vajah se he nahi thama tha kisi ne mera haath.
Rone ko toh ro lunga mein jaar-jaar,
Tapkenge ye aansu ek nahi hazaron baar.
Par ush tanhai mein bhi nibhane wala koi saath toh ho,
Tanha he sahi, par dil ki koi baat toh ho.
Ab toh ghoot raha hai dum mera ish tanhai mein,
Aur dikh raha hai chehra uska apni he parchai mein.
Ab aur kitna andhere baki hai is tanhai mein,
Is seene mein jal raha hai ek dil yaadon ki gehraai mein.
Ek muddat se nahi dekha use, ab toh intehan ho gayi hai intzaar ki,
Aur sukh rahi hai ye ankhein ummid mein uske deedar ki.
Baat na sahi, par uska ek Akash toh dikha de,
Ek pal ko he sahi, par ush Sakhas se toh mila de..
Posted in Blogs.
By amit garg
– May 27, 2008

MuJhe tum nazar se gira to rahe ho
MuJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
Na jaane muJhe kyoon yakiN ho chala hai
Mere pyaar ko tum mitaa na sakoge
Meri yaad hogi jidhar jaaoge tum
Kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
Tadapta muJhe har taraf paaoge tum
Shama jo jalaayi hai meri wafa ne
Bujhaana bhi chaaho bujha na sakoge
Kabhi naam baatoN meiN aaya jo mera
To bechain ho hoke dil thaam loge
Nigahon mein chaayega gham ka andhera
Kisi ne jo poocha sabab aansuoN ka
Bataana bhi chaaho bata na sakoge
MuJhe tum nazar se gira to rahe ho
MuJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
Posted in Blogs.
By amit garg
– May 21, 2008

tu jo roothi meri palkon pe
tu jo roothi meri palkon pe nami reh jayegi
zindagi bas naam hi ki zindagi reh jayegi
tark-e-ulfat ke iraade par zara phir sochiye
main chala jaaunga aur tu dekhti reh jayegi
ye nahi kehte ke tujh bin ji nahi payenge hum
haan humari zindagi mein ik kami reh jayegi
pyar ke sadqe ye lagta hai hamare darmiyaan
aur kuch na bhi raha ye dosti reh jayegi
main to tae kar ke chala jaunga duniya ka safar
mere baare mein ye duniya sochti reh jayegi
zaat se badh kar hai apni mujh ko apna pyara fun
main agar na bhi raha ye shairi reh jayegi
zindagi bas naam hi ki zindagi reh jayegi
tark-e-ulfat ke iraade par zara phir sochiye
main chala jaaunga aur tu dekhti reh jayegi
ye nahi kehte ke tujh bin ji nahi payenge hum
haan humari zindagi mein ik kami reh jayegi
pyar ke sadqe ye lagta hai hamare darmiyaan
aur kuch na bhi raha ye dosti reh jayegi
main to tae kar ke chala jaunga duniya ka safar
mere baare mein ye duniya sochti reh jayegi
zaat se badh kar hai apni mujh ko apna pyara fun
main agar na bhi raha ye shairi reh jayegi
Posted in Blogs.
By amit garg
– May 21, 2008