Skip to content


Bole Toh…. laaloo ki bhains ka narco analysis

Yeh Nithari kaand ke baare mein abhi sabhi log achche se jaan chuka hoga. Sala! apunkabhi sapne mein bhi nahi socha ki koi aadmi aisa ghinona kaam karne ko sakta. Bole toh….. kya bolega?
Par abhi ek baat aur samajh mein aaya ki yeh Narco Analysis badi mast cheez hai. Sala! ek injection laga aur sach aisa bahar nikalta hai….. jaise asaram baapu ke muh se pravachan!
Abhi kal Circuit aur apun beach ke beech mein baith kar soch rahele the ki sala neta log ka narco test kara dala jaaye toh sab nanga ho jaayega. Phir dheere-dheere apun dono daaroo ki masti mein aa gaya aur dono ko idea aane laga.
Circuit bola……bhai! tu soch ki agar Laaloo Yadav ka narco test kara diya jaaye….. toh kya niklega?
Apun : Chara niklega. he…he….hee
Apun : Aur agar Manmohan Singh ka narco test kara, toh woh kya bolega? bol….bol
Circuit : Madam se pooch ke batata hoon…… he…he!
Circuit : Achcha bhai! chal abhi apun log ek full narco test kar daal-te hain. Soch ki Laaloo Yadav ki bhains ne laaloo ko kaat liya…… abhi kisi ko nahi pata ki bhains ne kyon kata? Toh yeh pata laga-ne liye apun log bhains ka narco test karte hain…… kya!
Apun: sala! mast idea hai. Chal phir main Doctor aur tu Bhains. abhi Doctor, Bhains se sawal poochega aur bhains saare jawab sachchi-sachchi degi….. injection lagela hai….. jooth nahi bolne ka….. kya!

Toh aise shuru hua….. Munna Doctor ke dwara…..Circuit Bhains ka Narco Analysis Test.


Laaloo prasad yadav ki bhains ne Laaloo ko kaat liya…… bawal ho gaya. laaloo ne bhains ko police ke hawale kar diya. CBI se jaanch karane ki maang kar di….. parliament mein hungama ho gaya….. bola oppostion ne bhains badal di hai….. sachchai ka pata lagaya jaana chahiye.
Toh manmohan singh ne kaha ki sachchai jaan-ne ke liye bhains ka narco-analysis test karaya jaana chahiye.
Bas phir kya tha….. bhains ko laya gaya…. sach bolne ka injection lagaya gaya…..

Doctor : Tera naam?
Bhains :  Bole toh….Bhains.

Doctor : Maa ka naam?
Bhains : Teri maa ka naam tujhe pata hoga….. mujhe kya pata?Bhains.

Doctor : Abe! teri maa ka naam?
Bhains : Bhains.

Doctor : Baap ka naam?
Bhains : Bhainsa

Doctor : Bhai - behan hain?
Bhains : Haan

Doctor : Kitne?
Bhains : Teen. Do behan, ek bhai.

Doctor : Un-ke naam?
Bhains : Bhains, Bhains aur Bhainsa.

Doctor : Tera number kaun sa tha?
Bhains : Apun sabse badi hai… kya!

Doctor : Paida kahan hui?
Bhains : Arre! Tabele mein… mamu! apun kya hospital mein paida hogi?

Doctor : Teri Bhains ki….aankh……Kiske tabele mein?
Bhains : Laaloo ke tabele mein.

Doctor : Laaloo ko kabse jaanti hai?
Bhains : Jabse apun ki aankh khuli.

Doctor : Bole toh…. Laaloo se tumhara relation kaise the?
Bhains : (Hichak-te hu-e) Bahut gehre.

Doctor : Gehre bole toh?
Bhains : —

Doctor : Theek se bata. Kitne gehre relation the?
Bhains : (sharma-te hu-e) waise hi jaise ek bhains ke ek bhainse ke saath ho-te hai.

Doctor :  Bhainse ke saath? Tere ko Laaloo bhainsa jaisa lagta tha?
Bhains : Jo nau-nau bachche paida karta hai…. woh bhainsa hi toh hoga…. aadmi toh nahi ho sakta.

Doctor : Toh tu Laaloo ko pyar karti hai?
Bhains : (Gus-se mein) Nahiiiiiiiiiii….. apun us-se nafrat kareli hai….

Doctor : Lekin abhi toh tu bol raheli thi ki tum dono ke gehre relation hain?
Bhains : abe saand! tera bheja satkela hai. gehre sambandh the….. par abhi nahi hain.

Doctor : Achcha! to tu pehle Laaloo se pyar karti thi, lekin ab nafrat karti hai?
Bhains : abhi gobar se likh ke doon kya?

Doctor : Tere ko pehli baar kab yeh ehsaas hua ki tere ko Laaloo se pyar hoyela tha?
Bhains : (Romantic hote hue) Jab pehli baar us-ne mera gobar apne haath mein uthaya…. mujhe pyaar se dekha aur phir apne baap ko chilla kar bola….. bapu! is-ka kanda achcha banega. Phir pyaar se woh mere pichwade ko thap-thapa kar chala gaya.

Doctor : Bindaas! Aur tere ko yeh kabhi laga ki Laaloo ko bhi tere se pyaar ho gayela hai?
Bhains : (Aur romantic hote hue) Uss din bahut baarish ho rahi thi. tabele mein gobar ka kichad phaila hua tha. Jahan apun bandheli thi…. us jagah ki ghaas hati hui thi aur oopar se paani tapak rahela tha. apun ka mulayam, kala badan bhig rahela tha….. aur apun doosre mard bhainso se apne badan ko chupaane ki koshish kar raheli thi. Thand se apun ka badan kaanp rahela tha. Tabhi apun ne dekha ki woh door darwaze se apun ko-ich hi dekh rahela tha….. apun ko sharam aa gayi. Apun ki halat us-se dekhi nahi gayi aur woh kahin se ek bora uttha laya aur apun ke kaanp-te badan par dakh diya. Khusi ke maare apun ki poonch naachne lagi…. aur apun-ne apna muh us-ke haathon mein chupa diya.
Uss din Laaloo na hota toh shayad apun apni ijjat un saandon ke haath gawan baith-tee.

Doctor : Toh tere ko laga ki Laaloo bhi tere ko pyaar karne laga hai? Yeh baat kuch hazam nahi hui.
Bhains : (Phir guss-se mein) Jugali kar lo….. hazam ho jaayegi. Abhi baat poori kidhar hui?

Doctor : Achcha! toh batao….batao.
Bhains : (Wapas romantic hote hue) Phir uss-ne khoon-te se apun ki rassi kholi aur apun ko sahlate hue ek kon-e mein le gaya. apun ki saanse garam ho raheli thi…. naak se dhua aur muh se jhaag nikal rahela tha….. apun ka dil jor-jor se dhadak rahela tha aur pooch jor-jor se phadak raheli thi….
Apun soch liya tha ki apun ki yeh kali jawani ab sirf Laaloo ke liye hi thi…. aur apun apna sab-kuch usi-ich ko samarpan…. bole toh…. surrender karne ko ready thi.
Phir wahi hua….. jiska apun ko dar tha…………………..


Bas kya……! abhi toh mamla garam ho rahela hai…… poora serial ek-ich baar mein kaise dikhayega?
Jaisa TV mein serial ko tension mein laa-kar khatam kar deta hai…… waisa-ich yeh story bhi chalna mangta. Arre! narco test chal rahela hai…. time to lage ga-ich naa.

Abhi yeh tum log decide kar…… aage ka story padhna mangta ki nahi…….. Comment milega…… toh narco test aage badhega…… warna apun samajh jaayega…… ki story bakwas hai………

Chalta hai…….. 

Posted in munna...bole toh.



49 Responses

Stay in touch with the conversation, subscribe to the RSS feed for comments on this post.

  1. neha says

    yes plzzzzzzzzzzz continue it

  2. sanorina says

    Yes it can be.
    —-lol.
    http://kent-peterson.spaces.live.com/

  3. amazing santro says

    haste haste pet dukh rela hai..itna hasi bala chij likhna chahiye kya munna bhai?? apun sabka tabiyat gadbad ho jayega haste haste..aaahhhh

  4. Piyush Philip says

    Waah bhai waah !!!

  5. rani mukerjee says

    munnabhai to blog zone ka ekta kapoor ban gayela hai.uski kahani to ‘’saas bhi kabhi bahu thi ”ke episodes ki tarah lambi hoti ja rahi hai.thode gaane waane bhi daal do to aish aur hrithik ki film dekhne ki jarurat-ich nahi paregi.

  6. Pooja Nagpal says

    Hilarious … tum bhi series likhne mein champion ho gaye par bahut mast shuru kiya hai :-)

  7. bulbultuk bulbultuk says

    Bhai…chakkas hai re………..

  8. A J says

    Fultto ha bawa ekdum fultoo! Mazaa a gaya

  9. ZEUS ZEUS says

    aree 40 comment kyaa kam hai baap!!! Dekh maine 41-wa bhhi bhej diyaa…ab next episode..kyaa ???

  10. Mystic Fakir says

    bole toh…..reading was funny for me…humorous too…….

  11. seppy seppy says

    Lage raho moouuuuu…na Bhai

  12. Kush A says

    bloey toh …………………………………………………………….. yeh kahaani toh suprr hit ho gayi.. ham wait kar rahe hain saala interval kab khatam hoga!! :))))

  13. amiya lahiri says

    Kya solid likhela hai BHAI…..Apun ekdum khush ho gaya

  14. Kush A says

    boley toh iska agla bhaag kab aayega ???????????

  15. The Princess says

    Story to mast hai , Bhai ………..aage kya hua? Arrre jaldi bole ka , please !

  16. Abhinav says

    bilkul mast likhela hai bhaaaii…bole toh ekdam rapchick…

  17. Namrata S says

    chal munna gadi dauda…agla installment kab? lagey raho

  18. bublideepa g says

    aaree dhamal hai,bhai…….lage raho…..

  19. Sunil says

    EK DAM MAST….

  20. javed hussain says

    Bhai teri Story bole to solid hai ha..woh kya hai na bhai agar aisa koi injection ho na to saala apun ladke log ko milna maangta hai kyuki yeh ladkiyaan hai na bahut ullu banati hai bhai.Apun ki bhi ek girlfrnd hai par woh bole to sabse hatke hai bahut pyaari bilkul tumhari chinki ki tarah is liye usko injecsion ki zaroorat nahi hai par apun ke frnd log hai na unko bahut help hoga.munna bhai apun abhi chalta hai bole to baaki ke bhi blog padhne ka hai na tum aur circuit dono apun ka favourite hai ha.LAGE RAHO

  21. Navneet Khatri says

    Bhai Sahi Kaam

  22. Trishna Mumbai says

    :)), T

  23. Prudent Indian says

    Words fail me mamau! HoneyMoon tak to jana-eich-mangata.
    Love You and Circuit.
    anil.

  24. Honey Kumar says

    abey saala…yeh narco toh nikal pada baap….solid likhela hai….aisa karne ka ke yeh narco test ab daud bhai ka karne ka….aur wo bush ka…mazaa aa jaayega …munna….tu mast hai…

  25. Shyama Menon says

    Aagay bado Munna -apun bhi wait karela re! Hope hindi teekh hai! “Gobhar se likh doon ” - ha ha hilarious post!

  26. tisha hello says

    haha! sab iland waale has has ke mar jaynge aur sacchi mein bhatakti aatma ban jayenge!!

  27. Kush A says

    ABBEY HADD HO GAYI YAAR.. story complete kar be.. classic maal hai! by gawd!!!!

  28. Kush A says

    BHAI CLASSIC HAI YAAR!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

  29. Kush A says

    baaaaaaaaap re! itni lambi post!!! itna computer tere ko kaun sikhaaya munna?? naam bol! baaki ham dekh lega! :)

  30. Kush A says

    by gawd ki kasam, itbni hasin aa rahai hai kya bataaye

  31. Haritha Reddy says

    Munna bhai - hat’’s off to your imagination. Ab narco test analysis ka report poora mangatha hai apun ko ….. waiting to read more from you.

  32. Jissy Thomas says

    Agar Munna kaa narco test karaayaa toh kyaa nikegaa????? HAHAHAHAHA

  33. Jissy Thomas says

    Bole toh, agar Munna kaa narco test karaayaa toh kyaa niklegaa????? Apun kaa mistake ho gayelaa thaa. Has haske comment likhaa toh aur kyaa hoyegaa, re Munna?

  34. monu marathe says

    simply amazin…….

  35. prashant karn says

    Dekh bhanje, tune bahut achha likhela. tu pas main nahi hai varna main tere ko bahut sabasi deta. Thnks a lot……but what is next?

  36. Malini Laskar says

    Laloo ne pada na tod suicide kar lega………..lol

  37. nilam c says

    hey mamu ek dam mast naro test chal rehelatha ye bich mein commercial break kay ko? ab biddu chaldi aage ka test report bhajneka. abhi bahaut logon ka test karne ka hai

  38. meeta mehta says

    My goodness , kahan se late ho itne ideas , hats of to u !!
    Of crs aage ka haal jaldi sunaiye ji , jada bhaav khana nahi mangta , kya?

  39. hira kadlabju says

    Kamaal kar diya. Story chaloo rakho. Yeh bhains ke aage been bajane wali baat nahin hai.Hamara bhi bhains ke saath doodh ka rishta hai.

  40. Ravindra Dixit says

    Are Mamu aage ka ishtory suna, yeh dil maange more.

  41. Jannat Khan says

    Aarey Mamu itna interseting story aadha sunakar you are making the story more interesting. I am eagerly waiting for next part par pls ab complete karna ok. Lage raho Munna Bhai.

  42. Kanchan Bhattacharya says

    bhidu, tu bhi commercial cinema mein ghus gayela? bappi dada ko nulana tha… aur woh gana “yeh kali kali aankhe” ke saath laloo ko dance karwana tha! abhi lamba komment likhna tha, but pawar cut chal raHela, sharad se poochh lena!

  43. amol prabhudesai says

    kya mamu, baas kya.. bacha samza hai kya..(aap ke samne hai hum log chota bacha) par itna sab sunane ke baad, bole to itna excitement karne ke baad, puch rahe ho!!! aage sunana magta hai kya??? aare mamu… jaldi karu… tension bahut hai..

  44. Angel Eyez says

    subah subah hansi ka kya mast dose milela hai apun ko. Thanx munna. Ekdum jhakaas likhela hai. Apun ka to has haske bura haal ho raha hai. Tere imagination ki to daad deni padegi :) Lage raho..Ageka instalment kab hai??

  45. sreenivasa murthy says

    hey! mamu ekdam chak chak! masth re bhai!

  46. Kamal Dubey says

    Wow wht a plot? send it to Ulta-Pulta…

  47. Star Trekker says

    hahahaha…aage kya hua mamu?

  48. KUMAR S says

    Bhaiya, hamein kyon itna bekaraar karte hai. raha nahin jata. jald se jald aage ke baat bata dijiye. us bhains ki dasha jaanne ke liye main kaafi utaavla hoon.

  49. Doldrums Dolz says

    LOL…what an imagination! and i wont even try anymore to reproduce your kind of lingo…and yes! looking forward to the next session of the narco rest analysis transcription! :) Mast hai, ek dam mast!! :)