Skip to content


Bole Toh….. Aaj Apun Ka Valentine Day!!

Apun ek din late ho gayela hai…… par tension nahi……

Aaj apun idhar aaya…… apun ke Iland mein aane wali saari ladies log ko apun ki taraf se Happy Valentine’s Day…… aur saath mein….. dher sara pyaar, jhappiyan aur pappiyan……

jissy, angel eyes, tisha, Namrata, honey, harman, stylish gal, meena, savita, misty, sandhya, lalitha, rani, amazing santro, indigo, bublideepa, haritha, niharika, pooja, malini, princess, sue, sylvia, charu, dew drop………

Bole toh…. agar koi friend ka naam bach gaya hai….. toh apun ka SORRY, advance mein pakad kar rakh!

Haan! ek lady ka naam apun intentionally nahi likha hai……. kyonki apun us-se dar gayela hai….. usko apun ka style pasand nahi naa……. par apun sabko pyaar karta hai…… iss-liye usko bhi Happy Valentine’s Day!

Thode din mein phir wapas aayega yeh munna….. tab tak……. mast rehne ka!!

Posted in munna...bole toh.



21 Responses

Stay in touch with the conversation, subscribe to the RSS feed for comments on this post.

  1. dew drop says

    Apna thank you bhi pakad ke rakh munna.Late karne ke wasthe sorry, kya bole.last me hai par hai to apun ka naam tere dimag aur dil me. thanks

  2. aravind das says

    are mamu,tujhe ek flat chahiye ya pure aprtment mangta ?police mein report karu kya ?apun ka vaste to kisiko chod !happy v-day bhidu.

  3. Prudent Indian says

    O…Bhai…sari ki sari…behan log ko…??….Bhai bole touh, Anil Bhai…ki jhappiyan tere ko …. aur pappiyan…teri Bhabhi ke vaste rakh rahela hoon….Phir bole touh ”happy Valentine”.
    anil.

  4. bublideepa g says

    hello Bhai! aapko bhi same to u!

  5. Honey Kumar says

    abey yeh kya..tera toh bahut saara valentine hai aur apun socha…boo-hoooooo…..tu bhi saala flirtich karta hai..munna apun ko tere se ye umeed nai thi ….Happy valentine day to u also munna….

  6. bushra ali says

    hey bhai apun ka naam nahi liya ……liya hota to apun bhi famous ho jata tere jaisa……chal nakki kar koi baat nahin tujhko bhi valentine happy ho……

  7. Haritha Reddy says

    Happy Valentine Day -tumhe bhi munna. Apun soch rahi thi ki mumbai mein shiv sena ke log pakad ke le gaye honge tumhe - valentine day jo mana rahe ho ;-)

  8. L KINI says

    woh ek lady kaun hai munna, apun ko bolo na

  9. rani mukerjee says

    bahut din baad idhar dikhela hai.kya?idhar ka rasta bhul gaya kya?batane ka jhanvi ke saath kidhar kidhar ku gayela tha?tuppun ne picture ke baare main kuch nahi bataya.apun wait karela hai.rani wait kareli hai.jaldi batao nahi to koi dura hero ayela hai yahan.

  10. bulbultuk bulbultuk says

    Hey biddu…apun ko kyun bhulgaya re…apun bhi tera bulbul hai re…sirf ladki log ko bolneka kya…apun ladka hai to kya…..kamsekam happy to bolsakta hai na…..tera bhi na dimag sarak gayela lagta hai……….chota bhai ko bhul gaya na…bahut din se apun ke ghonsle me jhaank kar bhi dekha nahin ….ke chotu ka kya haal hai…..kabhi is taraf aaya to aajana….apun tere waste wait karega….ab tera jyada BHEJA khaneko nahin mangta hai….chalta hai….bb

  11. Malini Laskar says

    Apun ka nam ke liye thanks bolti hai. Dil khush ho gaya, happy valentines” day to you too. Cheers

  12. meeta mehta says

    happy happy valentines day to u too , wishing that every valentines day to come is even more for special for u than the previous one

  13. Angel Eyez says

    munna……apun bhi tereko wish karney mein late ho gaya hai uskey liye sorry :) Happy Valentine’’s Day!

  14. Jissy Thomas says

    Arrey Munna,
    Apun kaa naam Valentine Day special mein???? Meraa chhaati ekdum fool gayelaa hai. HAHAHAHA Thank You bolti hai.

  15. Giftson SJ says

    bhai…….tum mahatma ho……!!…..there is a species by name: “Males” in this world…..pehle library jao…padayi karoooooo…!!;;-)) V-Day wishes from Vasool Raja MBBS…;-))~~GIFT~~

  16. Kush A says

    he he he he.. here I give you a rose.. @)>—|– Pass it on to bhabhi ji pliij :)))

  17. Navneet Khatri says

    Bole toh ka bhi V Day aacha gayela hoga. So belated Happy Valentines Day to all the girls mentioned by this Munna bhai.

  18. amol prabhudesai says

    Aap ko bhi Happy Valentines Day bhai, aur hamari taraf se Jahnavi bhabhi aur circut ko bhi bolna…

  19. Manish bagra says

    Happy and Sweet Velentine day..but bhai ye tune thik nahi kiya, only ladies log ko wish kiya bole to Valentine day to pyar ke liye manaya jata hain to …don”t mind .

  20. meena sundar says

    Happy V day to u Munna bhai :-)Meena.

  21. Pooja Nagpal says

    Munna Happy Valentines day to you too :-))