Koi sala apun ko TAG nahi kiya….. toh apun khud-ich laga liya. Apun bhi socha ki yeh-ich sahi time hai ki sab log ko apun ke baare mein thoda jaan-na mangta ki apun kya dhansoo type ka aadmi hai….. Three people who make me laugh Three things I love Three things I hate Three things I don’t understand Three things on my desk Three things I am doing right now Three things I want to do before I die Three things I can do Three things you should listen to Three things you should never listen to Three things I’d like to learn Three favorite books Three Favorite Foods Three beverages I drink regularly Three TV shows/books I watched/read when I was a kid Toh abhi tum log ko maaloom pad-ich gaya hoga ki apun kitna seedha-sadha, sensitive aadmi hai. Iss liye next time ijjat dene ka….. bhai log! Nikal le munna….. bahut bol rahela hai….. abhi padne wali hai!!!
Chal abhi time khoti mat kar…… padhna chaaloo kar aur phata-phat comment-womment bhej daal.
Three things that scare me
1- Drugs ka dhandha
2- Kanoon andha
3- Aur bapu ka danda!
1- Circuit - woh apun ka laughter champion hai
2 - sonia gandhi - malkin, chitthi likh kar naukar log se mehangai ghatane ki request karti hai.
3 - Manmohan singh - desh ka PM, mehangai ghatane ke liye CMs ko chitthi likh kar request karta hai….
1 - Jahnavi
2 - Suman
3 - Teesri abhi decide nahi hui….. lekin koi gori mem hogi
1- Saas-bahu ka locha
2 - Aatankvaad
3 - Neta log ki jaat
1- Minority ki baat karne wala secular aur majority ki baat karne wala fundamentalist?? Kyon??
2- Apun log chaand tak jaa sakta hai par samandar ke paani ko peene layak nahi bana sakta?? Kyon??
3- Congress ka haath, garib ke saath!! phir bhi inke raaj mein garib kisan log dhada-dhad suicide kar rahela hai. Kyon??
1- rampuri chaku
2- XXX rum
3- “My Experiments with Truth” by Bapu
(Arre! apun bhi experiment kar rahela hai…. balance banane ka…)
1- soch rahela hai…. phir likhe rahela hai
2- daaroo chhodne ki koshish (glass bhara rakha hai….)
3- cigret chhodne ki koshish (dhua nikal rahela hai…)
(yeh glass aur cigret khatam hote-ich chhodd dega…….. Koshish!!)
1- Munna bhai part 12
2- Shaadi!!! par kaise karega? sala har part mein navi heroine aa jati hai.
3- apun jee bhar kar jeena chahta hai….
1- Apun ab angrezi mein bhi gaali de sakta hai….. kharcha-paani doon kya? (shall I pay your expenses? )
2- Apun khata bahut achcha hai. khana ho ya bheja!
3- Jo bhi ladki ban-na chahe….. usko maa bana sakta hai…..ekdum free!
1- police ka siren
2- radio….. dekh nahi sakte naa!!
3- andar ki awaj ko…… pata chal jata hai ki sandas ka time ho gayela hai.
1- baba log ka pravachan
2- neta log ka bhashan
3- jo kaan ko achcha naa lage….
1- Kholna….. dil ke darwaze
2- Ghusana……. apni baat ke doosre ke bheje mein
3- Bajana…. Guitar!
(public ke dimag kitna ganda ho gayela hai….)
1- The King of Farts - John Grisham
2- As the crow shits - Jeffery Archer
3- A Jerk in the mirror - Sidney Sheldon
1- maa ke haath ke Laddoo
2- maa ke haath ka Halwa
3- maa ke haath ki Kheer
(maa… kidhar hai tu? apun ko bhookh lagne lagi…..)
1- paani - rum, whiskey…. kisi ke bhi saath
2- daaroo….. bina paani ke bhi
3- doodh…. jo Jahnavi apne haath se, pyar se pilati hai
1- Kyonki… saas bhi kabhi bahu thi (itna generation leap ho gaya… jab shuru hua tha tab tulsi apne barabar ki thi…. ab woh 70 ki ho gayi…. abhi apun uske liye bachcha-ich hua naa)
2- Mowgli
3- Debonair (woh bhi dekhne ki cheez thi)
Ladki log ka man ho toh woh bhi apna ijjat de sakta hai….. apun le lega.
Achcha likha-padha maaf …… chalta hai…..
Friends' Update
-
Loading ...Please wait..
Chillz Buddy!
–
http://spiritual-healing4.blogspot.com/
bhai maza aa gaya, by far yeh sabse interesting tagged wala post tha…
arre mamu ekdas jhakaas!! bole to fulllllllllltime pass!! Apun ko ni maalum tha ki iss iland pe aise mahatma purush viraajmaan hain… apun bhi inspiration chahta.. thoda bhai-giri karega… 2-3 ko idhar udhar ghoomaayega… punn yeh bidi-cigratte ko haath ni lagaayega… nicche likha hota naa “Sahet ke liye haanikaarak” … chal bhai tu bhi apna game chaalu rakh.. apun bhi 1-2 ka game baja ke waapis aata hai..
Yaar bada mazaa aaya Mamu ijjat wala part pe baut hasa, daroo cigret chodne ki baat pe bahut roya, apun bhi wohich sochta hai na
areey…bhai…humara bhi rum favourite hai yaar…………;-)) 3 cheers…maaamu…..;-))~~GIFT~~
jaan gaya re mamu apun tereko…..sahi se bole toh….par yeh thik nai..saala do do ladki log ko ghumana ek saath…jhanvi bhi aur suman ji bhi….soch le mamu…yahan saala ladka og se ek nai tikti…aur munna do do ghumayega…wah wah..heheh
theek hai, tag mein phans gaya aur apun ko gali diya…. apun chalta! LOL!
that was really good….seriously phunny!!
Bole toh…Ekdum jhakhas!!!!!!!
Bahut ijjat Milnewali Hai Bhai….
lolllllllllll..simply great ! :))
three things u should follw- ME, MY BLOG & OUR FRIENDSHIP.samjhta ki doon kan ke niche ?love it.
ekdum mast post hai munna…aur apun ko sabse achcha laga tera angrezi gaali …ekdum hatkey…hehe
eheheheheh….You are Ilands Munnabhai.Amazing post!!!!………..ME
bole to baap …zyada bol rahela hain …bapu ka danda padne wala hain
good o know abou you munna
Mast likha hai baap
hehehehehehehehe .. yeh toh sabse badiya tagged padela main.. isse achha tag maine nahi padela abhi tak reeee.. hehehehe lekin tune yeh toh bataya nahi ki tu kisko tag karela bey? boley toh post ko edit maar aur kisi ko toh tag kar … chahe toh “tag ammendant” ka sahara leke thoda questions aur add kar dena tha na! kya!
Wah bhai aapke bare me pad kar pata chal gaya ki aap kitne side sadhe hain..:) great bhai….bole to aap puras hi nahi hain………..Mahapuras hain..:).
aap to ek mahaan aadmi hai !
Aey Munna, yeh ”wet day” kaa chakkar ”coca cola” kaa nahi thaa, nahi? Apun ko ulloo banaayaa? Abhi apun bogot gusse mein hai. Agar tuune daaroo aur cigarette peenaa nahi chhodaa toh dekhnaa, main tere se baat nahi karegi. Samjhaa kyaa?
interesting insight into munnabhai…
Bole toh apun apka fan forever bhai… Cheers..IP
Oye! bidu comment tou karna-keich tha bolta to bhi nahin bolta to bhi.Ek teri bhasha mein likhene ki karan dimag ka dahi ho jata hai.Kuch kuch tou bhi mere he mafik hai…bole touh…”(yeh glass aur cigret khatam hote-ich chhodd dega…….. Koshish!!)” …mast hey bhai…tou aaj kar kidhar ghoom rahela hai re…koi bhei letter vetter nahin bheja…kyon? sab ka bhai,anil bhai.
kya bhai aap bhi!!! is lafde me pad gaya, par kuch bhi bolo full timepass huva, bole to kuch sikhne ko bhi mila… (is liya to aap bhai hai) Radio sun ne chij hai malum tha, asli reason aaj pata chala… sala usko deek nahi sakte na!!! haas haas ke aak bhi lal ho gaya.. thanku bhai…
so sweet munna bhai….. intersting ……. nice to know about u bhai.
Yes Munna U are very seedha sada..and ilanders adore u !! Nice to know more abt u :-))