Skip to content


Bole Toh…… Happy Waali Holi !!!

Iland mein bhatakne waale apun ke saare friends log ko apun Happy Waali Holi bolta hai……!!

Abhi kya hai…… itne time se apun public log ka time pass kar rahela hai…. aur tum log ka comment-womment bhi mast mast enjoy kiyela hai…… par iss chakkar mein apun ka dhandha thanda pad rahela hai…..

Iss liye apun ko thode time ka break lena mangta….. dhandhe ko wapas line par lana mangta hai naa….. bechara Circuit par bahot load aa rahela hai….

Ek baar sab line par aa gaya toh apun phir idhar wapas tapak padega….. kya!!

Mast Holi mana-ne ka…… khush rahne ka…..

Abhi apun chalta hai…… 

Posted in munna...bole toh.



22 Responses

Stay in touch with the conversation, subscribe to the RSS feed for comments on this post.

  1. Mahesh Suvarna says

    Bhai, circuit bol rela hai. Waapis aa jao bhai. Dil nahi lagta hai

  2. Honey Kumar says

    mamu….sorry apun thoda late hai…par apun ka wishes lene ka….ek dum rang-wang lagaya k nai….happy holi tereko b

  3. Giftson SJ says

    belated happy holi…bloody…oops…sorry…..happy holi buddy……;-))cheers…….~~GIFT~~

  4. aravind das says

    apun ka rang aur bhang post pe mila kya ?happy holi bhai.

  5. shivani narula says

    enjoy the break munna and BOL to u………..for everything in lofe…………will miss u……….happy holi and take care.

  6. richa bhagwat says

    HAppi holi to you munna……………….ME

  7. bublideepa g says

    Hum aapka yehi par intezaar kar rahe hai.take a break!

  8. Malini Laskar says

    Baap jaldi wapas aane ka, varna iland suna reh jayega tere bina

  9. Manish bagra says

    Happy holi dear Munna…waiting for u..tak ecare..

  10. Pooja Nagpal says

    Happy Holi…come back soon !!

  11. Honey Kumar says

    Mamuuu…mubarak holi tereko bhi..circuit so special rang lagana apni taraf se..abi tu toh do do ko leke ghumta hai toh apun ko toh circuit ko hi pakadna padega na….

  12. amit agrawal says

    Abhi kya hai…… , Munna Bhai , Jane ka hai to jaona, Apun bolega to bhi rukane ka nahi, apun ko malum hai……………
    HAPPY RANG BHANK WALI HOLI …………..

  13. meena sundar says

    Happy holi munna bhai….

  14. hira kadlabju says

    Happy Holi full of joy n fun. May God arm u with the determination of infusing colour in the lives of all friends

  15. Amiya Lahiri says

    Bole to….. Kya mast holi hai…

  16. Kush A says

    boley toh happy holi + occasion pa jaadu ki jhappi tere ko aur bhabhi ko bhi ;) aur circuit ko bhi :D

  17. amol prabhudesai says

    Munnabhai.. Happy holi..

  18. bulbultuk bulbultuk says

    aur kaan kholkar sunle bhai…tum apunka ghar aakar apunka likha kavita nahin padke gaya…iska bulbul ko dukh hai….kya samjha….aage aisa nahin karneka…chota bb tum ko bahuuuuut yaad kar raela hai……..aake ek jhappi deneka bb ko aur bb se ek meetha pappi leneka…..bb ;;;;—-))))

  19. bulbultuk bulbultuk says

    Hey Kya bolta tuu…holi mein to sab rang daleka aur thoda bhang marneka…uske baad….geet gaakar apunka laila ko pataneka progrm hai kyaaaaaaaaaaaaa…bole toh gap-chup dekhneka…bb

  20. Jissy Thomas says

    Arrey Munna,
    Tuu iland par nahi aayegaa toh kyaa haal hogaa? Teraa post padhe binaa kuchch kuchch hotaa hai. Bohot buree aadat pad gayee hai, bhai. ;-))))))))))))))) Yeh bhi sahi ich hai. Dhandhaa nahi rahaa toh khaayegaa kyaa. Pan jaldi iland pe vaapas aanaa. Main wait kar raheli hai.

  21. Angel Eyez says

    Hi Munna…apun bhi tere ko happy waali holi bolta hai. Munna, Circuit, Jahnavi, Suman ko bhi apun ki taraf se happy holi bol dena. Aur tere ko apun bada waala thank u bolta hai. Woh tuney apun ko specailly wish kiya na ..bole toh apun ke GB mein msg likha na isliye bada waala thank u. Abhi apun chalta hai…phir milenge

  22. dilip krishnan says

    happy holi, munna and friends!