Kya mamu log….. maze mein? Kya aanti log……… kaisa chal rahela hai? Blog-giri mast chal rahela hai ki nahi?
Ae Circuit, tu kya udhar-ich ko-ne mein khada rahega? Arre! kam se kam haal-chaal toh poochna mangta hai na!
Circuit: “Bhai, apun ko sharam aa rahela hai. idhar ladki log bahut aati hai na….. apun ki toh ladki log ke saamne ek-dum tight ho jaati hai…. zubaan. Bole toh….. bolti bandh ho jaati hai. Phir tu toh hai-ich…… tu-ich apni taraf se hi-hello bol de sabko.”
Chal theek hai…. par tu idhar-ich baith….. sala koi baat karne ko bhi chahiye na!
Tere ko maloom…… kitna sara log apun ko phone kiyela tha jabhi Sanju baba ko 6 saal ki lagi? Sala….. public ko laga ki Sanju baba andar…… toh apun bhi andar!
Circuit : “woh kya hai bhai….. public ne tere role mein Sanju baba ko-ich dekehla hai. Abhi public ko kaise maaloom hoga ki tu Sanju baba se alag hai? Is-liye galti se mistake ho gaya…”. “Aur phir tu bhi kitne din-o se gayab tha iland se! “
Circuit, tere ko toh sab pata hai. Chal apun public ke saamne bhi raaz khol deta hai.
Toh mamu……. apun ne shaadi bana liya….. Jaahnavi ke saath!
Akha India ka bhai log, bahen log aaya…… Raymond wala “The Complete Man” bhi aaya aur Gaymond wala “The Incomplete Man” bhi aaya. Neta log neti ke saath aaya, Abhineta log abhineti ke saath aaya, Johar sahab jauhari ke saath aaya, Chopra saab chopri ke saath aaya……
Circuit : “Aur Bhai, Chaddha saab…..? “
Woh bina chaddhi ke aaya……. bola ki chaddhi toh Baniya aur Baniya-in ki marriage annivarsary mein gayeli hai.
Bas yeh samajh le……. Bachchan aur Bachchani ne jisko-jisko nahi bulaya, woh sab apun ki shaadi mein aaya.
Circuit : “Bhai, honeymoon bahut lamba manaya tu-ne! “
Bas kya…. pehla-pehla shaadi banaya apun……. kitni jagah ghumaya apun Jahnavi ko…… maloom!
Sabse pehle….. Dharavi mein apne rishtey waalon se milaya….. sala poora khandan udhar-ich hai. Phir Chambal le kar gaya….. kya romantic jagah hai saali! Uske baad Chandan ke jangal mein gaya……. par udhar maza nahi aaya…… woh Veerappan uncle ke kalti ho-ne ka baad udhar sannata ho gayela hai.
Toh mamu….. ab tu-ich bata ki apun idhar kaise aata itne time? Par apun miss kiya tum log ko…… is-liye aaj phir idhar tapak pada……
Dekh bhai….. abhi tum log naraaz nahi hone ka…… ki apun tum log ko shaadi mein nahi bulaya. Sala, bulata kaise?
Address kidhar tha apun ke paas.
Abhi jisko-jisko mithai khana mangta….. toh apna-apna address bhej daal. Address milte-ich apun goli mein mithai bhar kar bhijwa dega…. kya!
Waise bhi sala itna din ho gaya hai mithai ban-e hu-e…….
Circuit : “Haan bhai! abhi toh tommy bhi soongh kar chhod deta hai…… khata nahi, mithai”.
Ae Circuit, tere bheja mein gobar bhara hai…… yeh baat idhar bol-ne ki kya zaroorat thi?
Apun tere ko chhodega nahi…… ruk! kidhar bhaag rahela hai……..
chalo munna munni ne shadi bana li aur honey moon bhi hogaya…ab munna munni ke ghar munna munni hogi , wah bhai…kamal hai .jaldi ch pedhe khilao, batli pike muh kadawa ho gayela hai
Bole to apun ki taraf se tere ko bhot bhot badhai.
am late still belated hapy married life,aur apka style bahut accha hai mamu
congrats bhaiii…shaadi pe bulaya b nai mamu…..yeh kya baat ich hoti hai..chal saalaa…phir b congrats bolti hai apunnnnnn
congrats
Ab kaya hoga tara Munna…
Hiiiiiiiiiiiii!!!!!!!! Munna, Congratsssssssssss!!!!!!
Hi dear frnd,
“CONGRATULATIONS”
WISH U A HAPPY MARRIED LIFE,MAY GOD BLESS U BOTH.
We all are happy for u.
Take care.
asli muna bhai to kuch saal ke liye ludhak gaya ab tum wapas aa ke apun log ko idhar pakane ka kya , aise bich bich mein khoti kar ke nahi jane ke….
abe tereko jail mein blog allowed hai kya ?
congrats munna bhai….wish u a very happy married life…….
Congratulations……….bole toh……life ka fixing hone per mubarakbad.
Arre wah munna shadi bena dali kya bhai ab toh maje mein conrats yaar **************WISH U A HAPPY MARRIED LIFE***************
****CONGRATULATIONS MUNNA****
Wish U Happy Married life!
CONGRATS Munna Bhai!!! this is really a sweet surprise :)))
God Bless!
Meri bhi bolti band ho gayee bhai.
Agar tuu apun ko bataataa toh baaje aur baaraat ke saath main aati. Chal, koee baat nahi. Apun ki taraf se tere ko aur Jahanvi bhabhi ko congrats, bole toh badhaaee.
aye! kutreya! tere ko na abhi marneya ka mangata hai. apun khalis 25 din udhar raha,har ek se poocha o bhai…muna ka ghar kidhar koich hai koi bateney ko nahi sakata! kyoon re? chaal abhi ek jhappi or teri biwi ko teri bhatigiyaneen ke taraf se pappi.
chal mast kiya tou,shaddi bana dala. apun isis khushi mein ek quarter oy satalk gaya hai re!!!!
bhagwaan tum dono ko khush rakhe ,hamesha.
May God bless both of you always. If I can only tell to both o you that,marriage is neither a compromise nor any agreement. Marriage is “complimenting ” each other,take it as an elder Brother’’s advice. My blessings and love and Best of wishes,Always. Love you.anil and with family.
GOOD LUCK
Saaala golmal parishad bewda!! Shadi mar liya sumdi mein aur uska smell bhee aaney ko nai diya? Luccha!! Chal bawa, galey ko milo. Puppy Shaadi bawa!!
achha! sachhi me shaadi ho gaya…bole toh khushi hui jaan ke…happy rehne kaa bhai