दर्द का ये अफसाना है तो बड़ा पुराना बुना है जिसमे तेरे मेरे प्यार का तराना कुछ गम है तेरा कुछ दर्द मेरा कुछ तन्हाइया तेरी कुछ दीवानगी मेरी सिमटा है जिसमे तेरे मेरे जज्बांतो का फ़साना कुछ हसरतें हैं और कुछ मेहरबानियाँ कुछ आरजुएँ है और कुछ वीरानियाँ कैसा खूबसूरत बन गया है ये तेरा मेरा ठिकाना
SARA
दर्द
September 22nd, 20104 lines
June 30th, 2010ये झूमती ये गांती पेड़ों की डालियाँ
ये धरती को झुक-झुक कर चुमते बादल
ये सुन्दर गान गाती रंग-बिरंगी चिड़ियाँ
ये मनं को चुराते सुन्दर-सुन्दर कोलाहल
Mausam
June 3rd, 2010Hawao ke rukh bhi badalne lage hai
Thandi si mausam par bichhi suraj ki kirne
Dil me aarmaano ke kafile nikalne lage hai
Fiza me chhaai hai basanti bahaar
Dil hi dil me saj raha pyar ka khumaar
Papihare bhi madhur geet gaane lage hai
Mausam ka hai asar man mayur bhi nachne lage hai
SARA
Re-post
May 10th, 2010Hai rishto ki fikra hame kyoki
Woh to mera wakif-e-haal hai
Wo to meri subah-e-uroj hai
Wahi to mera waqt -e-zawal hai
Meri har baat wo manta hai
Meri har baat wo janta hai
Wo mila mujhe jab sadiyo baad
Mere lab par ab na raha koi sawal hai
Wo meri chup par ro diya
Ye to hamari guftgu ka kamal hai
Chahat se badkar chaha hai use
Sara-e-Sitam uske dil par dhaya hai
Likha dariya ye muhabbat ka yu hi bahta rahe
Bheja tha khat use kabhi wo aaj bhi uske pass hai
YA RABB!………..
March 11th, 2010![]()
Meri dhadkane mujhe yu bechain na kar
Mai tanha thi bahut magar ab aur tanha na kar
Mujhe se yu mere saaye ko duur na kar
Meri tadap meri saanso ko yu majbuur na kar
Samet de mere aanchal ko khushiyo se
Dukho ke samandar se mujhe yu hi duur kar
Taqdeer ne jo bhi dukh diye samete hai humne
Yu meri aankho se mere sapno ko chuur na kar
Pal pal tujhe hi chahu pal pal tujhe hi sochu
Mere Khuda!mere dil ko itna majbuur na kar
Sara-e-basti me aai thi bahar abhi-abhi
Ya rab!bahar-e-basti me khiza ko aabad na kar
Untitled
March 9th, 2010![]()
Kitni muhabbat hai mujhe tumse ye bata nahi sakti
Jindagi me teri ehmiyaat hai kitni ye jata nahi sakti
Meri jindagi ka har lamha hota hai shuru tujhse
Tujhse duur rehke mai to ek pal bhi beeta nahi sakti
Mumkin hai teri chahat me mai khud ko bhool jaau
Tujhe bhoolne ki khata meri dhadkane bhi kar nahi sakti
Meri har ek dhadkano me meri har ek sanso me basa hai tu
Tujhse juda hokar ek pal bhi mai jee nahi sakti
Yakeen nahi hota ki taqdeer rang deekhayegi
Hal-e-dil hai kya sanam mai bayaan kar nahi sakti
SARA
Dil se..
February 24th, 2010![]()
Mere hi dil se poochho ki hai mujhko tujh se payar kitna
Samandar ki baanho me mauze bhi na ho jitna
Rab se hi manga hai tujhko Rabba hi kare khair
Ab to sanam tere hi payar me mujhko hai mar mitna
Payar ki ranho me milenge hazaro gam sanam
Sath na mera chhodna tujhse iltja hai sirf itna
Bahare aati jaati hai mausam lete hai rang ka
Chahti hu mere dilbar tujhe itna na chaha ho kisi ko kisine jitna
SARA
pyar
February 17th, 2010Tere bin nahi jeena mujhe tumse payar hai
Hai tujhko bas yahi batana mujhe tumse payar hai
Ye lab tujhse kuchh bol nahi paate par tujhe to ehsaas hoga
In aankho me ek baar pad lo na bas mujhe tumse payar hai
Likha karti hai ye lekhni meri bas tera-mera hi ‘Sara’-afsaane
Har geet-o-ghazal me maine likha mujhe tumse payar hai
Ab to naam tere hi likh dali hai saari jindagaani
Chale kanto par pade chalna mujhe tumse payar hai
Dil-e-izhaar kai baar kiya aur nazar-e izhaar kai baar
Har tarah se maine sau baar kaha mujhe tumse payar hai
Gumaa hone laga hai apne chehre me hai chehra tera
Kambakhat aina bhi samjhne laga hai mujhe tumse payar hai
Hai mujhko bhi ye ehsaas ki tumko bhi mujhse payar hai
Ru-b-ru aakar ekbar izhaar-e-muhabbat kardo mujhe tumse payar hai
SARA
Jhalak…….!
February 4th, 2010जिनकी झलक मे करार बहुत है…
उसका मिलना दुशवार बहुत है..
जो मेरे हांथों की लकीरों मे है…….
उस से हमें प्यार बहुत है..
जिस को मेरे दिल का रास्ता भी है मालूम…….
इन धडकनों को उसका इंतेज़ार बहुत है..
ये हो नही सकता कि वो हमे भुला दे..
क्या करें हमे उसपे एतबार बहुत है..
SARA
Dil se………..
January 29th, 2010
Dil se jude rishto ko kabhi toda nahi karte
Hath rahao me kabhi chhoda nahi karte
Kanhi jakhmi na ho jayein hath tumhare
Jo toot jaayein aaine to fir use joda nahi karte
Koi tufaan kasti ko garq-e-ab na kar de
Maujo ka rookh yu moda nahi karte
Ho agar wasul tijarat to muhabbat nahi karte
Muhabbat me jajbaato ka yu sauda nahi karte
Mohabbat ke un wasulo me kuchh wasul ham bhi hai rakhte
Apnni muhabbat ko kabhi yu ruswa nahi karte
Karte ho yaaron jissse muhabbat kah dalo use
Muhaabbat me yarron kayanaat kiya nahi karte
SARA