
Zindagi ne kaha zindagi to muat ka naam hai
Suraj ne kaha zindagi to ujale ka naam hai
Falak ne kaha zindagi to roshan hone ka naam hai
Chand ne kaha zindagi to chandni ka naam hai

Phoolo ne kaha zindagi to khushbu ka naam hai
Khushu ne kaha zindagi to mahkne ka naam hai
Mahak ne kaha jindagi to bikharne ka naam hai
Khushi ne kaha jindagi to muskurahat ka naam hai

Muskurahat ne kaha zindagi tanhai ka naam hai
Tanhai ne kaha jindagi to aansu ka naam hai
Aansu ne kaha jindagi to afsane ka naam hai
Afsaane ne kaha zindagi to ek kashish ka naam hai

Wo kahte hai jindagi to hasil karne ka naam hai
Ham kahte hai zindzgi to khud ko kho kar tujhe paane ka naam hai
::::::::::::::::::::::::::::::SARA::::::::::::::::::::::::