Abhi to hai humari baali re umriya
Naadan hu mai kaise samjhau tujhe sawariya
Chalu jab bhi mai to baje hai meri payaliya
Janu mai bhi ki kathin hai payar ki dagriya
Piyaji khud ko na paye sambhaal
Jab balkhaye meri nazuk si kamriya
Bholi hu na jaanu hai ye kaisi duniya
Kehate hai wo ki tujhe lage na nazariya
Sharmajau mai jab gire mukhade pe chunariya
Samne aa jaaye jab dilwar sawariya
Jiya me uthe hai na jaane kaisi lehariya
‘Sara’ din karu tera intazar mere guzariya
Raat aaye na bin tere aankho me needariya
