Entries RSS Comments RSS

Archive for the ‘Uncategorized’ Category

दर्द

Wednesday, September 22nd, 2010




दर्द का ये अफसाना है तो बड़ा पुराना


बुना है जिसमे तेरे मेरे प्यार का तराना


 


कुछ गम है तेरा  कुछ दर्द मेरा


कुछ तन्हाइया तेरी कुछ दीवानगी मेरी


सिमटा है जिसमे तेरे मेरे जज्बांतो का फ़साना


 


 


कुछ हसरतें  हैं  और  कुछ मेहरबानियाँ  


कुछ आरजुएँ  है  और   कुछ वीरानियाँ   


कैसा   खूबसूरत बन गया  है ये तेरा  मेरा ठिकाना


 

SARA


 

4 lines

Wednesday, June 30th, 2010


ये झूमती ये गांती  पेड़ों की डालियाँ


ये धरती को झुक-झुक कर चुमते बादल


ये सुन्दर गान गाती रंग-बिरंगी चिड़ियाँ


ये मनं को चुराते सुन्दर-सुन्दर कोलाहल

 

Mausam

Thursday, June 3rd, 2010



Mausam ke rang badalne lage hai
Hawao ke rukh bhi badalne lage hai
Thandi si mausam par bichhi suraj ki kirne
Dil me aarmaano ke kafile nikalne lage hai
Fiza me chhaai hai basanti bahaar
Dil hi dil me saj raha pyar ka khumaar
Papihare bhi madhur geet gaane lage hai
Mausam ka hai asar man mayur bhi nachne lage hai


SARA

Re-post

Monday, May 10th, 2010

Hai rishto ki fikra hame kyoki


Woh to mera wakif-e-haal hai



 


Wo to meri subah-e-uroj hai



 


Wahi to mera waqt -e-zawal hai



 


Meri har baat wo manta hai



 


Meri har baat wo janta hai



 


Wo mila mujhe jab  sadiyo baad



 


Mere lab par ab na raha koi sawal hai



 


Wo meri chup par  ro diya



 


Ye to hamari guftgu ka kamal hai



 


Chahat se badkar chaha hai use



 


Sara-e-Sitam  uske dil par dhaya hai



 


Likha dariya ye muhabbat ka yu hi bahta rahe



 


Bheja  tha khat use kabhi wo aaj bhi uske pass hai



 

Untitled

Tuesday, March 9th, 2010

http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6E6F666563/u1g3ir44mlgsssnj.D.0.www_harikasozler_net_-_Beyaz_romantik_bir_resim.jpg



Kitni muhabbat hai mujhe tumse ye bata nahi sakti


Jindagi me teri ehmiyaat hai kitni ye jata nahi sakti


Meri jindagi ka har lamha hota hai shuru tujhse


Tujhse duur rehke mai to ek pal bhi beeta nahi sakti


Mumkin hai teri chahat me mai khud ko bhool jaau


Tujhe bhoolne ki khata meri dhadkane bhi kar nahi sakti


Meri har ek dhadkano me meri har ek sanso me basa hai tu


Tujhse juda hokar ek pal bhi mai jee nahi sakti


Yakeen nahi hota ki taqdeer rang deekhayegi


Hal-e-dil hai kya sanam  mai bayaan kar nahi sakti


SARA

Dil se..

Wednesday, February 24th, 2010


http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6E6F666563/tgrmywk9ybmdk3ru.D.0.hurricaneeskart04ani1hcoy5.gif

Mere hi dil se poochho ki hai mujhko tujh se payar kitna
S
amandar ki baanho me mauze bhi na ho jitna
Rab se hi manga hai tujhko Rabba hi kare khair
A
b to sanam tere hi payar me mujhko hai mar mitna
Payar ki ranho me milenge hazaro gam sanam
Sath na mera chhodna tujhse iltja hai sirf itna
Bahare aati jaati hai mausam lete hai rang ka
Chahti hu mere dilbar tujhe itna na chaha ho kisi ko kisine jitna

SARA

pyar

Wednesday, February 17th, 2010

Tere bin nahi jeena mujhe tumse payar hai


Hai tujhko bas yahi batana mujhe tumse payar hai


Ye lab tujhse kuchh bol nahi paate par tujhe to ehsaas hoga


In aankho me ek baar pad lo na bas mujhe tumse payar hai


Likha karti hai ye lekhni meri bas tera-mera hi ‘Sara’-afsaane


Har geet-o-ghazal me maine likha mujhe tumse payar hai


Ab to naam tere hi likh dali hai saari jindagaani


Chale kanto par pade chalna mujhe tumse payar hai


Dil-e-izhaar kai baar kiya aur nazar-e izhaar kai baar


Har tarah se maine sau baar kaha mujhe tumse payar hai


Gumaa hone laga hai apne chehre me hai chehra tera


Kambakhat aina bhi samjhne laga hai mujhe tumse payar hai


Hai mujhko bhi ye ehsaas ki tumko bhi mujhse payar hai


Ru-b-ru aakar ekbar izhaar-e-muhabbat kardo mujhe tumse payar hai

SARA

Jhalak…….!

Thursday, February 4th, 2010

जिनकी झलक मे करार बहुत है…
उसका मिलना दुशवार बहुत है..

जो मेरे हांथों की लकीरों मे है…….
उस से हमें प्यार बहुत है..

जिस को मेरे दिल का रास्ता भी है मालूम…….
इन धडकनों को उसका इंतेज़ार बहुत है..

ये हो नही सकता कि वो हमे भुला दे..
क्या करें हमे उसपे एतबार बहुत है..

SARA

Dil se………..

Friday, January 29th, 2010

 


Dil se jude rishto ko kabhi toda nahi karte


Hath rahao me kabhi chhoda nahi karte


Kanhi jakhmi na ho jayein hath tumhare


Jo toot jaayein aaine to fir use joda nahi karte


Koi tufaan kasti ko garq-e-ab na kar de


Maujo ka rookh yu moda nahi karte


Ho agar wasul tijarat to muhabbat nahi karte


Muhabbat me jajbaato ka yu sauda nahi karte


Mohabbat ke un wasulo me kuchh wasul ham bhi hai rakhte


Apnni muhabbat ko kabhi yu ruswa nahi karte


Karte ho yaaron jissse muhabbat kah dalo use


Muhaabbat me yarron kayanaat kiya nahi karte



                                          SARA

NADAN HAI………….

Sunday, January 17th, 2010

Nadan hai ye dil kaise tujhe bhool payega


Koi kona is dil ka ab sada ke liye so jayega


Tham jayengi ugliya nabz bhi zam jayega


Fir panno par ye kaise bayaan ho payega


Tera shehra hai bahut door ab lagta


Bin parwane ke kya samma pighal payega


Deewre na hoti to hum nibhate rashm-e-dastur


Hai sawal ek Kya mere bin tu rah payega


Jindagi har mod par leti hai imtahaan


Kab tak ye bojh ye dil yu hi udha payega


Hai tamanna meri bhi ab kash !tu mujhe bhool jaay


Mere ghazalo me ab tera kabhi zikra bhi na aayega



SARA