pyar, naam to bahut suna tha meine par mujhe ho jaayega,aisa socha na tha… pyar, lagta tha Inder-dhanush sa, hoti hongi jisme …jeevan ki har khushi ka rang… khair , Pyar jaisa ho hi gya mujhe… chal de mein bhi aankhon me sapne liye….. us andhere safar par…achhanak thokar lagi … aur bikhar gaye spane…… par kya himmat haari meine…nhi.. fir chal de dil thaame…. anjaan safar …kaaton ki baahon me ….. khud ko sambhale…jindgi ki kashti fir takra gai..kisi ke sahare…. ab vo Inder-dhanush deekhne laga tha… vo dil me bas kar…aatma ko chune laga tha…… chute chute….bas gya meri nason me….. har rang dekha jeevan,uske sang…. Judaii ne maano jaadu kr diya ho… dekhte hi deekhte…vo tara kahin kho gya…. mein akeli us anjaan khasti par… bas door se neehar rehi hun us..sahil ko …… aur kya soch rehi hun…jaanti nhi …. bas itna pata hai….jinda hun mein… chal rehi hai saansein….. dhadak reha hai dil….. na jaane kyun chal rehi hai saansein..aur kyun dhadak reha hai dil…….. ek pyar ne cheen li Masumiyat meri….. aur ek ne cheen liya wajood mera…..
ye kavita mujhe bahut apni si lagi…shayad aap logo ko bhi lage..isliye share kar rehi hun…..par ye meri kavita nhi hai…..ye bol kiske hain…..ye to nhi pata par padhne par bhaav apne lagne lgte hain….
yeh phool, mombatiyan aur tute spane, yeh kaam-kaaju daftar file, ucta sa jee, bhatta vetan, ye sab sach hai. isme se rati bhar na kisi se koi kam, andhi galiyon me pathbharathon ke galat kadam ya chanda ki chaya me bhar bhar aane waali aankhein nam, bachhon ki si dudhiya hasi ya man ki laheron par utrate hue kafan. jeevan hai kuch itna virat, itna vayapak usme hai sabke liye jagah, sabka mahtav, o maizon ki koron par maatha rekh kar rone waale, yeh dard tumhara nhi sirf, yeh sabka hai. sabne paya hai pyar, sabhi ne khoya hai. sabka jeevan hai bhaar, aur sab jeete hain. bechain na ho- yeh dard abhi kuch gahere aur utarta hai, fir ek jyoti mil jaati hai, jiske manjul parkash me sabke arth naye khulne lagte, ye sabhi taare ban jaate hain koi anjan ungaliyan in par tai - tai, sabse sangeet jaga detin apne apne guth jaate hain ye sabhi ek meethi lay me yeh kaam-kaaj ka, sangharsh, viras kadvi baatein ye phool, mombatiyan aur tute sapne yeh dard virat jindgi me hoga parinit hai tumhe nirasha fir tum paaoge taakat un ungliyon ke aage kar do maatha nat jiske chu lene bhar se phool sitare ban jaate hain ye man ke chaale, o maizon ki koron par maatha rekh kar rone waale- har ek dard ko naye arth tak jaane do………
Har roz mein is raaste se guzarti hun'or peechale' 2 saal se guzr rehi' hun'..is raaste se ek ajeeb sa naata jud gya hai'..kabhi is raaste par chalna meri majburi tha..or ab is par chalne ki aadat ho gai hai'..
Jab tak usse nhi milli thi tab tak'ye raasta mere liye sirf ek raasta tha'par jab usse milli to ye raasta mujhe meri mazil lgnelga'har roz bus me baithe hue ye sochti thi'.is raaste ke bare me'is raaste par ek chota sa pul padta hai'or us pul ke just aage do sadakein neekalti hai..
Ek sadak mere ghar ki taraf jaati hai'us duniya ki taraf jaati hai'.jo sirf naam ke liye meri hai'
Or dusri sadak mere pyar ke ghar ki taraf jaati hai'thi'
To har roz bus me socha karti thi ki'ki kab vo din aayega aur mein uske ghar ke raaste par chalungi'kaisa hoga vo raasta'.or phir har baar meri bus mere ghar ke raaste ki taraf mud jaaya karti thi or mud jaati hai..
Or mein bahut deer tak us raaste ki taraf dekhti rehti hun'.or dekhti rehti thi'
Hamesha socha karti thi ki..mein uske pyar ke rangon me to rang chuki hun..kab mein uske shehar or aur uske parivaar me rangungi'..
Mere piya ke ghar jaane ka raasta'.bus sochte hi dil me hazaaron unmangeein uthne lgti thi'.na jane kitne khuwab aankhon me basne lagte thy'or ye sochte sochte raasta kat jaaya krta tha..
Hey kitni budhu or pagal thi mein'.kitni pagal'shayad ek ladki ka Dil hota hi aisa hai'..
Aur aaj mein us raaste par guzarti hun to '.lgta hai koi haq nhi hai'ab mujhe raaste ke bare me sochne ka'..kyunki mein ab vahan jaa hi nhi skti'.or dua hai ke kabhi us raaste par mujhe chalna bhi na pade'.
'
Lakin dil to pagal hai mera'
Vo soche bina kahan manta hai'.mera Dil meri sunta hi kab..
Na chahte hue bhi soch leti hun'
Soch leti hun ki shayad meri bus kabhi us pul par kharab ho jaaye ya galati se us raaste par chalne lage or'mein us pull se us raaste ko dekh sakun'.galati se hi mein us raaste par chal padu
Or usse jude apne anjaane rishte ko mehsus kar sakun'.
Or mein to ye bhi soch leti hun ki'is raaste se vo bhi guzarta hoga'.
Bas ab meri kismat me uska aisa hi aehsaas hi baaki hai'.par mujhe lgta hai..ki mein iski bhi haqdaar nhi hun'jo apna hi nhi reha to kiski kisi bhi baat par kya haq'..bas ye to Dil ka pagalpan aur ek bhram hai'.ki Pyar hai..pyar tha'.
Pyar hota to humara haath aise' chuth jaata'.
Par us pul ki ye khaas baat hai'jab jab meri bus us par se guzarti hai'..vahan bahut thandi hawain chalti hai'.ya shayad mujhe vo thandi aur sukun dene waali lagti hain'.ye bhi to ek galatfhami hi hai'
'
Ab mujhe to intzaar hai ki kaash meri bus kharab ho jaaye us pul par'..or mein jee lun ek baar uske aehsaas ko'mehsus kar lun us sukun bhari hawaon ko''jo
Har pal mere pyaar ki daastan sunati hain mujhe'.
Or kehti hai'ki'..
'
Janam dekh lo mit gai doorian..Mein yahan hun yahan hun yahan'kaisi sarhadein, kaisi mazburiyan'. mein yahan hun yahan hun yanhan'